Reciter: Nadeem Sarwar
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Aa Dekh Mere Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera
Dil Seenay Mein Jab Tak Hai
Bhoolay Ga Na Gham Tera
Aa Dekh Meray Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera
Zainab Ki Dua Ban Kar
Ek Waqt Woh Aye Ga
Har Ghar Pay Saja Ho Ga
Abbas Alam Tera
Dill Seenay Mein Jab Tak Hai
Bhoolay Ga Na Gham Tera
Aa Dekh Meray Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera
Aa Jati Hain Zahra Bhi
Zainab Bhi Ziyarat Ko
Jab Aath Muharram Ko
Uthta Hai Alam Tera
Dill Seenay Mein Jab Tak Hai
Bhoolay Ga Na Gham Tera
Aa Dekh Meray Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera
Taboot Jab Uthta Hai
Shabbir Ka Ay Ghazi
Taboot Kay Agay Bhi
Chalta Hai Alam Tera
Dill Seenay Mein Jab Tak Hai
Bhoolay Ga Na Gham Tera
Aa Dekh Meray Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera
Woh Kon Say Sadmay Thay
Sheh Toot Gaye Jis Say
Ek Dard Tha Zainab Ka
Aur Doosra Gham Tera
Dill Seenay Mein Jab Tak Hai
Bhoolay Ga Na Gham Tera
Aa Dekh Meray Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera
Parcham Ka Pharaira Tha
Ya Aas Thi Zainab Ki
Zainab Kay Kalaijay Say
Gham Kaisay Ho Kam Tera
Dill Seenay Mein Jab Tak Hai
Bhoolay Ga Na Gham Tera
Aa Dekh Meray Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera
Bazar Mein Zindaan Mein
Darbar Mein Har Lamha
Zainab Ki To Sanson Pay
Tha Naam Raqam Tera
Dill Seenay Mein Jab Tak Hai
Bhoolay Ga Na Gham Tera
Aa Dekh Meray Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera
Jab Beh Gaya Sab Pani
Tab Sans Teri Tooti
Tha Seenay Kay Andar Ya
Mashkeezay Mein Dam Tera
Dill Seenay Mein Jab Tak Hai
Bhoolay Ga Na Gham Tera
Aa Dekh Meray Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera
Awaz Teri Sarwar
Shabbir Say Wabasta
Abbas Say Wabasta
Rehan Qalam Tera
Dill Seenay Mein Jab Tak Hai
Bhoolay Ga Na Gham Tera
Aa Dekh Meray Ghazi
Ooncha Hai Alam Tera