Reciter: Mir Hasan Mir
Marhaba Marhaba Marhaba Marhaba
Marhaba Salle Alaa Marhaba Salle Alaa
Aa Gaya Shaban Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Rony Waly Mehfilon Mein Muskurany Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Kon Aaya Hai Zameen Par Ban Key Zeenat Bap Ki
Panjatan Khud Shoq Mein Jhoola Jhulany Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Pyas Bachpan Mein Bhuja Kar Sheh Ki Ghazi Ny Kaha
Dekhiye Baba Hamen Wady Nibhany Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Main Alam Ly Kar Chala To Aai Ghazi Ki Sada
Ho Mubarak Ab Tumhen Bazo Katany Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Dekhny Sidra Se Aagy Ky Manazir Jibraeel
Fatima Zahra Ke Ghar Chakki Chalany Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Shikwa Qismat Se Na Karna Jaon Se Boly Hussain
Ab To Razi Hai Tujhe Hum Khud Mananey Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Qabr Mein Pahuncha Jo Momin Aai Bali Sy Sada
Ay Farishto Jao Kiun Is Ko Jagany Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Main Ny Likha Tha Fidak Ki Maalika Tujh Ko Salam
Khaar Mein Kuch Log Mera Ghar Jalany Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Dekh Kar Manzar Najaf Se Karbala Tak Yun Laga
Jaise Qayem Ki Hukoomat Ke Zamaney Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Is Jahan Mein Ay Takallum Hum Faqeer E Bu Turab
Dushman E Zahra Ko Mitti Mein Milany Aa Gaye
Aa Gaya Shabaan Khushion Kay Zamanay Aa Gaye
Marhaba Salle Alaa
Marhaba Salle Alaa