Reciter: Nadeem Sarwar
Dargah E Alamdar
Ya Bab E Hawaij Meri Toqeer Barha Dy
Abbas Katy Hathon Sy Taqdeer Bana Dey
Zehra Sy Wafadari Duniya Ko Sikhata Hai
Parcham Ka Pharaira Yeh Lehra Ky Batata Hai
Abbas Bulata Hai
Parcham Ka Pharaira Yeh Lehra Ky Batata Hai
Abbas Bulata Hai
Dargah E Abul Fazl Al Abbas Ky Saye Mein
Tafreeq Nahi Koi Apny Mein Paraye Mein
Jo Bhi Yahan Ata Hai Khali Nahi Jata Hai
Abbas Bulata Hai
Bey Aas Mareezon Ko Duniya Ky Ghareebon Ko
Maskeenon Yateemon Ko Roti Hui Ankhon Ko
Har Tootey Huye Dil Ki Yeh Aas Bandhata Hai
Abbas Bulata Hai
Haider Ky Malangon Ki Is Dar Py Qataren Hain
Hooron Ki Farishton Ki Is Dar Py Qataren Hain
Jis Jis Ka Bulawa Hai Dorha Chala Ata Hai
Abbas Bulata Hai
Woh Maula Qadam Ho Ya Shahbaz Ki Nagri Ho
Matam Jahan Hota Ho Majlis Jahan Hoti Ho
Deny K Liye Pursa Zehra Ko Jo Ata Hai
Abbas Bulata Hai
Mashad Ho Najaf Ho Ya Makkah Ho Baqaiyyah Ho
Woh Karbobala Ho Ya Shahzadi Ka Roza Ho
Duniya Ka Koi Zair Jab Bhi Yahan Ata Hai
Abbas Bulata Hai
Bechain Hai Ghabra Ky Khaimy Mein Tehalta Hai
Kya Jurm Kiya Aisa Kiun Hathon Ko Malta Hai
Ay Hurr Teri Qismat Ka Tara Yeh Batata Hai
Abbas Bulata Hai
Girty Huye Parcham Ko Dekha Shah E Wala Ny
Zainab Sy Kaha Ro Kar Abbas Ky Maula Ny
Hum Jaty Hain Dariya Par Dil Doobta Jata Hai
Abbas Bulata Hai
Tum So Gaye Dariya Par Dekho To Zara Uth Kar
Shabbir Ko Ghairey Hai No Lakh Ka Yeh Lashkar
Jab Teer Koi Dill Par Aaqa Tera Khata Hai
Abbas Bulata Hai
Rehan Ki Sarwar Ki Maula Sy Wafayen Hain
Abbas Ky Rozy Py Noha Liye Aye Hain
Shahzadi Sakina Ka Noha Jo Sunata Hai
Abbas Bulata Hai
Ya Bab E Hawaij Meri Toqeer Barha Dy
Abbas Katy Hathon Sy Taqdeer Bana Dey