Reciter: Mir Hasan Mir
Abbas Abbas Abbas Abbas
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Aankh Bhar Kar Jisy Dekha Hua Pathar Jaisa
Keh Ke Yeh Hath Alamdar Ny Khud Rok Liya
Hurmala Tere Liye Kafi Hai Asghar Jaisa
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Teri Saqqai Ka Aijaz Hai Abbas E Ali
Pani Milta Hai Sabeelon Py Bhi Kausar Jaisa
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Kon Maidan Mein Hai Siffeen Ky Ghazi Ya Ali
Kashmakash Mein Hai Kharha Malik E Ashtar Jaisa
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Koi Kam Zarf Usy Bhi Na Khuda Keh Dy Kahin
Hoo Bahoo Chehra E Abbas Hai Haider Jaisa
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Ungliyon Par Hi Utha Leta Woh Kaandhy Ki Jaga
Mashk Ka Wazn Jo Hota Dar E Khaibar Jaisa
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Anbiya Bol Uthy Dekh K Abbas Ka Noor
Sirf Haider Hi Bana Sakta Hai Haider Jaisa
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Lashkar E Shar Py Nazar Dal Ke Ghazi Ny Kaha
Hal Ho Ga Tera Firaon Ke Lashkar Jaisa
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Loh E Mehfooz Ky Bhi Bas Mein Nahi Hurr Ki Qasam
Likhty Hain Hazrat E Abbas Muqaddar Jaisa
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Hai Habib Ibne Mazahir Ko Likhy Khat Ka Karam
Likhta Hai Midhat E Shabbir Jo Akbar Jaisa
Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Abbas Abbas Abbas Abbas