Reciter: Farhan Ali Waris
Haye Sham Haye Sham
Haye Abbas Haye Abbas
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Sooraj Ny Khulay Sar Jis Ko Ghar Men Bhi Kabhi Na Daikha
Afsos Wohi Shahzadi Balway Mein Gai Wawaila
Zainab Ki Yahan Aamad Par Darbar Sajaya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Kis Shan Say Teri Zainab Mehmil Mein Chali Thi Ghar Say
Aur Aaj Safar Par Nikli To Raah Mein Pathar Barsay
Bey Parda Nabi Zadi Ko Galiyon Mein Phiraya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Kya Tujh Say Kahun Ay Ghazi Daikhay Hain Yahan Gham Kaisay
Raahon Mein Sakina Teri Pani Ky Liye Gar Roye
Bachay Ko Dikha Kar Pani Raiti Py Bahaya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Bey Dard Hain Bey Ghairat Hain Yeh Sham Ky Rehnay Walay
Ankhon Py Parhay Hain Parday Aur In Ki Zaban Par Talay
Yeh Chup Hain Nabi Zadi Ko Balway Mein Bulaya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Ek Lamha Nahi Hai Aisa Eeza Na Koi Pahunchaye
Thak Kar Woh Kahin Gar Baithay Sajjad Ko Neend Aa Jaye
Haye Haye Zanjeer Hila Kar Qaidi Ko Jagaya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Dohraya Gaya Mazi Ko Hai Zulm Wohi Aur Gham Bhi
Ummat Bhi Wohi Chehray Bhi Darbar Wohi Aur Gham Bhi
Kal Amman Jahan Aai Thiin Ab Mujh Ko Bulaya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Raahon Mein Kisi Manzil Par Deta Jo Hamen Koi Chadar
Lay Jatay Hain Phir Woh Chadar Hakim Ky Sipahi Aa Kar
Ek Gham Mein Teri Zainab Ko Kai Bar Rulaya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Barsat Kabhi Durron Ki Hoti Hai Kahin Sang Bari
Ay Bhai Bata Kiun Na Ho Jeenay Say Mujhay Bey Zari
Sadaat Ko In Raahon Mein Har Gaam Sataya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Yeh Farsh E Aza Yeh Matam Zainab Ka Qarz Hai Hum Par
Duniya Say Kahen Phir Kiun Na Farhan Aur Mazhar Ro Kar
Jo Aal E Nabi Par Guzri Nohon Mein Sunaya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Abbas Teri Behnon Ko Bazar Mein Laya Jata Hai
Haye Sham Haye Sham
Urdu Lyrics
ہائے شام ہائے شام
ہائے عباس ہائے عباس
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایا جاتا ہے
سورج نے کھلے سرجس کو گھر میں بھی کبھی نہ دیکھا
افسوس وہی شہزادی بلوے میں گئی واویلا
زینب کی یہاں آمد پر دربار سجایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایاجاتا ہے
کس شان سے تیری زینب محمل میں چلی تھی گھر سے
اور آج سفر پر نکلی تو راہ میں پتھر برسے
بے پردہ نبی زادی کو گلیوں میں پھرایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایاجاتا ہے
کیا تجھ سے کہوں اے غازی دیکھے ہیں یہاں غم کیسے
راہوں میں سکینہ تیری پانی کے لئے گر روئے
بچی کو دکھا کر پانی ریتی پے بہایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایاجاتا ہے
بے درد ہیں بے غیرت ہیں یہ شام کے رہنے والے
آنکھوں پے پڑے ہیں پردے اور ان کی زباں پے تالے
یہ چپ ہیں نبی زادی کو بلوے میں بلایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایاجاتا ہے
اک لمحہ نہیں ہے ایسا ایضا نہ کوئی پہنچائے
تھک کر وہ کہیں گر بیٹھے سجاد کو نیند آ جائے
ہائے ہائے زنجیر ہلا کر قیدی کو جگایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایاجاتا ہے
دہرایا گیا ماضی کو ہے ظلم وہی اور غم بھی
امت بھی وہی چہرے بھی دربار وہی اور غم بھی
کل امں جہاں آئی تھیں اب مجھ کو بلایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایاجاتا ہے
راہوں میں کسی منزل پر دیتا جو ہمیں کوئی چادر
لے جاتے ہیں پھر وہ چادر حاکم کے سپاہی آ کر
اک غم میں تیری زینب کو کئی بار رلایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایاجاتا ہے
برسات کبھی دروں کی ہوتی ہے کہیں سنگ باری
اے بھائی بتا کیوں نہ ہو جینے سے مجھے بے زاری
سادات کو ان راہوں میں ہر گام ستایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایا جاتا ہے
عباس تیری بہنوں کو بازار میں لایاجاتا ہے
یہ فرش عزا یہ ماتم زینب کا قرض ہے ہم پر
دنیا سے کہیں پھر کیوں نہ فرحان اور مظہر رو کر
جو آل نبی پر گزری نوحوں میں سنایا جاتا ہے