Reciter: Farhan Ali Waris
Ai Jan E Manam Shair E Wigha Paikar E Esaar
Ai Nasir E Man Bazu E Man Zaib E Alamdar
Dar Karbobala Behr E Baka Soorat E Deewar
Shaida E Hasan Jan O Dil E Haider E Karar
Shehna Na Lakuna Ashk Fishan Dar Dam E Guftaar
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam
Boli Tujh Say Wafa Dhyan Rakhan Zara
Kehtay Hain Tishna Lab Pani Ab Aye Ga
Bachon Say Kehti Hai Bint E Shah E Huda
Pani Lay Ayen Gay Dariya Say Ab Chacha
Barsar E Alqama Rakhna In Ka Bharam
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam
Bhool Ja Pyaas Tu Meray Abbas Tu
Pyason Ki Hai Dua Zainab Ki Aas Tu
Pyar Kar Lun Tujhay Aa Meray Pas Tu
Meri In Baton Ka Rakhna Ehsas Tu
Tishna Lab Tu Wahan Aur Yahan Hon Gay Hum
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam
Tu Mera Pyar Hai Tu Aitabar Hai
Aal E Muhammad Ka Tu Pehra Dar Hai
Yeh Mera Zuljanah Yeh Zulfiqar Hai
Lekin Teray Liye Sab Kuch Baikar Hai
Jaa Lab E Alqama Yeh Lay Mashk O Alam
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam
Mashk O Alam Liya Jaah O Hasham Liya
Khaimay Say Jab Chala Dariya Pay Dam Liya
Ghazi Say Maojon Nay Barh Ky Alam Liya
Rooh E Shair E Khuda Say Yun Bharam Liya
Marhaba Marhaba Bolay Shah E Umam
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam
Mashkeeza Bhar Liya Qabza Bhi Kar Liya
Yun Samjho Shair Nay Batil Ka Sar Liya
Mojon Ky Qalb Mein Is Tarha Ghar Liya
Tamgha E Tishnagi Alqama Par Liya
Daikhtay Thay Hussain Bheegay Nahi Qadam
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam
Roko Roko Zara Kehtay Thay Ashqiya
Janib E Khaima Gah Shair E Haider Chala
Nagaah Teer Ek Mashkeezay Par Laga
Hasrat O Yaas Say Ghazi Ronay Laga
Aa Gaya Yaad Usay Qaol E Shah E Umam
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam
Dono Bazu Juda Kar Gaye Ashqiya
Ghorhay Say Kis Tarh Mera Ghazi Gira
Pahunchay Shah E Zaman Par Mera Bawafa
Daikhta Kya Bhala Ankh Mein Teer Tha
Bolay Shah E Uma Lutt Gaye Ab To Hum
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam
Phir Bola Bawafa Ay Ibn E Sayeda
Khaimon Mein Ly Kar Na Jana Lasha Mera
Sheh Bolay Hoga Woh Jo Tu Nay Keh Diya
Hasrat Hai Bas Mujhay Bhai Keh Kar Bula
Lab Hilay Dum Gaya Roye Shah E Umam
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam
Farhan Kya Parhay Mazhar Bhi Kya Likhay
Maqtal Nigaaron Nay Jo Likhay Marsiye
Ly Kar Mashk O Alam Sooye Khaima Chalay
Ro Kar Shah E Umam Akbar Bhi Sath Thay
Ya Ali Ya Ali Labb Par Tha Dam Badam
Abbasam Abbasam Saqqa E Tiflanam