Reciter: Tejani Brothers
Akbar-e-noor-e-nazar Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Akbar-e-noor-e-nazar Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Jab se juda tum huwe cheyn nahi hai mujhe, Koi nahi hai mera haye sada du(n) kise
Chorke maa(n) ko gaye haaye meri jaa(n) kidhar akbar-e-noor-e-nazar
Akbar-e-noor-e-nazar Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Waqt-e-azaa(n) hogaya jaan-e-pidar lot aa Kab se hu(n) darpar khari aa mujhe surat dikha
Dasht-e-bayabaan mei dhund rahi hai nazar akbar-e-noor-e-nazar
Akbar-e-noor-e-nazar Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Saal tha athharwaa(n) ay mere karyal jawaa(n) Teri dulhan lawungi soch rahi thi ye maa(n)
Haaye mere laal ko kha gayi kiski nazar, akbar-e-noor-e-nazar
Akbar-e-noor-e-nazar Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Ranj uthati hu mei ashk bahati hu mei Ab na kabhi aawonge phir bhi bula ti hu mei
Lot ke aajawoge kaash koi de khabar, akbar-e-noor-e-nazar
Akbar-e-noor-e-nazar Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Qalb-e-phuphi ke liye rahat-o-aram the Gulshan-e-madar ke tum laal-o-gulfam the
Sogaye jaakar kahaa(n) khunki-e chashme padar, akbar-e-noor-e-nazar
Akbar-e-noor-e-nazar Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Zindagi bhar ke liye daghe judayi diya Maut se badtar huwa deher mei jeena mera
Maa(n) ko bulalo wahi soye ho beta jidhar, akbar-e-noor-e-nazar
Akbar-e-noor-e-nazar Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Qayd-e-sitam ki taraf meri sawari chali Toot gaye khwaab sab aas bhi tooti meri
Bikhre hai armaa(n) mere aaj to sab khaak par, akbar-e-noor-e-nazar
Akbar-e-noor-e-nazar Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Kya likhu(n) “Rehan” ab saath qalam de na jab Kaise bayaa(n) ho sake dard-o-alam ka sabab
Zinda rahe kistarha sarware jinn -o-bashar, akbar-e-noor-e-nazar
Akbar-e-noor-e-nazar) x2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar