Reciter: Tejani Brothers
Haye Akbar Haye Akbar
Meray Akbar Haye Akbar
Rooh E Azaan Akbar Meray
Karhyal Jawaan Akbar Meray
Yeh Subh O Dam Sheh Nay Kaha
Aao Qareeb Ay Dill Ky Chain
Tum Par Fida Ho Jaye Ga
Lakht E Jigar Baba Hussain
Kehtay Rahay Ro Kar Yehi
Shah E Zamaan Akbar Mere
Rooh E Azaan Akbar Mere
Karhyal Jawaan Akbar Meray
Akbar Say Yeh Sheh Nay Kaha
Hai Hukm Yeh Tum Ko Mera
Aagay Barho Dillbar Meray
Lay Kar Isay Aao Zara
Daikho Yahan Aaya Hai Hurr
Sun Kar Azaan Akbar Meray
Rooh E Azaan Akbar Mere
Karhyal Jawan Akbar Meray
Marnay Ki Jab Lenay Riza
Khaimay Mein Aaya Nojawan
Barpa Hua Kohram Ek
Jaisay Hila Ho Aasman
Bibiyan Huiin Noha Kunaan
Kehti Thi Maan Akbar Mere
Rooh E Azaan Akbar Mere
Karhyal Jawan Akbar Mere
Lay Kar Riza Baba Say Jab
Maidan Ko Akbar Gaya
Tooti Kamar Thamay Huye
Peechay Chalay Shah E Huda
Aur Labb Py Thi Yehi Faqat
Aah O Fughan Akbar Meray
Rooh E Azaan Akbar Meray
Karyal Jawan Akbar Meray
Naazon Say Pala Tha Tumhen
Mainay Meray Lakht E Jigar
Tum Say Bichar Kar Ab Bhala
Kaisay Jiye Ga Yeh Pidar
Tum Say Hi To Meray Badan
Mein Hai Yeh Jaan Akbar Meray
Rooh E Azaan Akbar Meray
Karyal Jawan Akbar Meray
Ghorhay Say Jab Akbar Giray
Thi Bas Yehi Labb Par Sada
Baba Madad Ko Aaiye
Waqt E Museebat Aa Gaya
Ro Kar Pukaray Shah E Deen
Ho Tum Kahan Akbar Meray
Rooh E Azaan Akbar Meray
Karyal Jawan Akbar Meray
Beta Meri Aankhon Mein Toh
Ab Noor Bhi Baqi Nahi
Dikhti Nahi Mujh Ko Meray
Lakht E Jigar Ab Yeh Zameen
Ankhon Mein Bas Baqi Hai Ab
Meri Dua Akbar Meray
Rooh E Azaan Akbar Meray
Karyal Jawan Akbar Meray
Lash E Pisar Par Jis Gharhi
Pahunchi Shahenshah E Huda
Aerhi Ragarhta Khak Par
Noor E Nazar Jis Dam Dikha
Behtay Thay Yeh Shabbir Kay
Ashk E Rawaan Akbar Meray
Rooh E Azaan Akbar Meray
Karyal Jawaan Akbar Meray
Johar Karay Kaisay Raqam
Tejani Woh Manzar Bhala
Shabbir Par Maidan Mein
Aaya Ajab Yeh Marhala
Seenay Say Keh Kar Shah Nay
Khainchi Sinaan Akbar Meray
Rooh E Azaan Akbar Meray
Karyal Jawan Akbar Meray
Haye Akbar Haye Akbar
Meray Akbar Haye Akbar
Ali Akbar