Reciter: Tejani Brothers

Ayna talibu bi dhuhulil anbiya, ayna talibu bi damil maqtooli bi karbala

Alajal ya imam, ya imame zamaan

Har taraf jahan me zulm aur jafa hai
Aaj aake dekho, waqt kya para hai
Saare momino ke lab pe ye sada hai
Inteqame karbala humko dekhna hai
Har gari hamare dil me bus dua hai

Alajal ya imam, ya imame zamaan

Ab munfiqat ka dor chal raha hai,
Bekhata lahu ko jo bahaa raha hai
Zulm ki hukumat, aaj har jaga hai
Samarra me dekho, haye kya huwa hai
Aaj be alaamat, qabr-e-sayyeda hai

Sayyeda fatemah, sayyeda fatemah

Tum bhi mere maula ibne sayyeda ho
Jaane mustafa ho, ibne murtaza ho
Maula askari kai, aap mehlaqa ho
Aaj aap maula, shaahe karbala ho
Zalimo(n) ke sar ki, aap hi qaza ho

Alajal ya imam, ya imame zamaan

Aap ayiye ab, muntazir hai kabaa
leke awo khanjar, shahe la fatah ka
aap ayenge jab, inqelab hoga
aap ka hai sadqa, ye jahaan saara
naam leraha hai, har malak tumhara

Alajal ya imam, ya imame zamaan

parchame hussaini haath me uthaawo
mausame adalat, aap leke aawo
farsh ab aza ka, har jaga bichaawo
aur diya aza ka, har taraf jalaawo
Rab se jo kiya hai, wada tum nibhaawo

Alajal ya imam, ya imame zamaan

Kaise bhool jaaye(n), Karbala ka manzar
Shaah-e-karbala tha, zee(n) pe na zamee(n) par
Pyaasa wo gale par, chal raha tha khanjar
Khayme se ye Zainab, keh rahi thi rokar
Babajaa(n) bachaawo, karbala mei aakar

Alajal ya imam, ya imame zamaan

Darke niche zahra jabke gir rahi thi
Haath tha kamar par baap ko sada di
Mohsine ali ko jabke kho rahi thi
Marte marte zahra deti thi duhayi
Ab hai unki badla teri zimmedari

Alajal ya imam, ya imame zamaan

Kayinaat me hai har zaba(n) pe naaraa
Inteqame zahra lijiye khudaaraa,
Aap ko “tejani” ne hai ab pukaaraa
Dijiye qalam ko aap ka sahaaraa
Nohay jab parhe ham saath ho tumhaaraa

Alajal ya imam, ya imame zamaan

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply