Reciter: Nadeem Sarwar
Ay Karbala Bata Ay Alqama Bata
Tanha Hussain Dekh Rahy Thy Yeh Majra
Aaya Tha Kis Tarha Sy Tarai Py Ba Wafa
Aur Kis Tarah Sy Khoon Mein Tar Ho K Reh Gaya
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka
Yeh Woh Alam Hai Jis Sy Shaheedon Ki Shan Hai
Qurbanion Ka Naam Wafa Ka Nishan Hai
Bachon Ki Aabroo Hai Sakina Ki Jaan Hai
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka
Lehra Raha Hai Is Ka Pharaira Hawaon Mein
Is Ki Bulandion Ka Hai Charcha Fizaon Mein
Sab Karbala Hai Is Ky Pharairy Ki Chaon Mein
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka
Phaila Hua Hai Is Ka Jo Saya Hussain Tak
Rasta Isi Ny Sab Ko Dikhaya Hussain Tak
Hurr Bhi Isi Ko Dekh Ky Aya Hussain Tak
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka
Pyason Ka Is Alam Mein Safeena Bhi Dekhiye
Panjy Mein Roshni Ka Khazeena Bhi Dekhiye
Lipti Hui Hai Mashk E Sakina Bhi Dekhiye
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka
Dekh Is Alam Ky Saye Mein Yakjaa Hai Kon Kon
Qasim Hai Wehb E Qalbi O Aabis Umair O Aon
Akbar Sy Khoobroo Ky Barabar Kharhy Hain Jaon
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka
Ghazi Ky Khoon Sy Jo Mili Hai Baqa Isy
Hasil Yeh Iftikhar Rahy Ga Sada Isy
Har Daor Mein Uthayen Gy Ahl E Aza Isy
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka
Bety Bicharh Gaye Hain Yeh Dil Ko Malal Hai
Lekin Bahan Ko Bhai Ky Haq Ka Sawal Hai
Zainab Ko Har Dua Mein Isi Ka Khayal Hai
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka
Ay Tashna Lab Wafaon Ky Dariya Salam Ly
Har Apny Sogwar Ka Pyasa Salam Ly
Ay Karbala Ky Dast E Bureeda Salam Ly
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka
Hum Ko Jo Yeh Tarai Mein Behr E Karam Mila
Tareekh Ko Hilal Kahan Yeh Hasham Mila
Zainab Ki Yeh Dua Thi Ky Aisa Alam Mila
Alam Abbas Ka Alam Abbas Ka