Reciter: Farhan Ali Waris
Saj Raha Tha Ghar Mein Aza Khana
Main Parh Raha Tha Noha Sakina Ka
Jaisay Hi Alam Hathon Mein Logon Nay Uthaya
Ek Noor Ka Jhonka Meray Nazdeek Say Guzra
Aisa Laga Maula Aaye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakin Sath Mein Hai
Pai Dua Zehra O Ali Say
Meray Aqeeday Nay Yeh Bataya
Maan Nay Dua Di Mujh Ko Yeh Keh Kar
Tu Nay Alam Jab Ghar Mein Lagaya
Aisa Laga Maula Aaye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai
Tifl O Jawan Kam Sin Sab Ayen
Mannati Baliyan Hath Mein Lay Kar
Aaye Alam Jab Bazm E Aza Mein
Wajd Ho Tari Ahl E Aza Par
Aisa Laga Maula Aye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai
Door Huye Sab Ranj O Masayeb
Aik Sakoon Is Qalb Nay Paya
Haziri Jis Dam Mainay Sajai
Farsh E Aza Jab Ghar Mein Bichaya
Aisa Laga Maula Aye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai
Nazr Dilai Sharbat Par Jab
Ghar Mein Meray Masoom Bachon Nay
Zikr E Sakina Karnay Lagay Jab
Di Yeh Sada Maaon Behnon Nay
Aisa Laga Maula Aye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai
Pahunchiin Nigahen Jab Bhi Alam Par
Yad Sataye Tishna Labon Ki
Behtey Huye Ashkon Nay Suna Di
Baat Wafa Ki Pyaas Ki Kahani
Aisa Laga Maula Aye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai
Baat Karun Sarkar E Wafa Ki
Zikr E Wafa Jis Waqt Sunun Main
Daikhun Julooson Mein Jo Alam Ko
Rotay Huye Logon Say Kahun Main
Aisa Laga Maula Aye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai
Chadar E Zainab Sa Woh Pharaira
Jab Bhi Hawaon Mein Lehraye
Karbobala Ka Shair Yehi Hai
Dill Say Meray Awaz Yeh Aaye
Aisa Laga Maula Aye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai
Jab Bhi Aza Khanon Mein Gaye Hum
Behr E Ibadat Sar Ko Jhuka Kar
Mangi Duayen Nazr Dila Kar
Noha Parha Jab Ashk Baha Kar
Aisa Laga Maula Aye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai
Sham Ky Jab Zindan Mein Gaya Main
Apnay Hi Ashkon Mein Main Nahaya
Aik Diya Turbat Pay Jalaya
Bibi Ko Apni Noha Sunaya
Aisa Laga Maula Aye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai
Kya Main Parhun Aur Kya Na Parhun Main
Faisla Chorha Shah E Umam Par
Keh Ky Yehi Farhan Aur Mazhar
Behr E Aqeedat Pahunchay Alam Par
Aisa Laga Maula Aye Hain
Aur Sakina Sath Mein Hai
Alam Utha Abbas E Jari Ka
Mashk E Sakina Sath Mein Hai