Reciter: Farhan Ali Waris

Ali Ali Haider Ali Ali Haider

Abhi To Bint E Asad Thiin Tawaf E Kaaba Mein
Keh Patharon Mein Khushi Say Ajab Hi Lali Thi

Khuda Ka Shukar Keh Ek Samt Ruk Gaiin Warna
Har Aik Samt Say Deewar Phatnay Wali Thi

Nafs E Nabi Shair E Khuda Zehra Ka Shohar
Mola Mera Aaqa Mera Saqi E Kausar

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

—- Ki Zameenon Ko Khud Aflaak Nay Chooma
Bait E Khuda Wajd Mein Kuch Aur Bhi Chooma
Bint E Asad Aaiin To Kaabay Mein Bana Darr

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

Bint E Asad Kehnay Lagiin Majra Hai Kya
Ankh Nahi Kholta Daikhen Mera Bacha
Bolay Nabi Bhai Ko Hathon Mein Utha Kar

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

Duniya Ko Daikhna Bhi Gawara Nahi Kiya
Jab Tak Ali Nay Daikha Na Chehra Rasool Ka
Shair E Khuda Na Banta To Banta Bhi Aur Kya
Bachpan Hi Say Jo Pala Hua Tha Rasool Ka
Yeh Bhi Ali Wali Ki Fazeelat Hai Ek Barhi
Jo Hai Ali Ka Shajra Woh Shajra Rasool Ka
Rab Ki Qasam Ali To Hai Woh Pehla Naat Khuwan
Jis Nay Parha Hai Pehla Qaseeda Rasool Ka

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

Nam E Ali Rabb Nay Baharon Py Bhi Likha
Chand Pay Sooraj Pay Sitaron Pay Bhi Likha
Naam Yehi Likha Tha Jibreel Ky Par Par

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

Han Teri Qismat Bhi Sanwar Jaye Gi Pyaray
Doobti Kashti Bhi Ubhar Jaye Gi Pyaray
Bola Khuda Nooh Say Tu Wird Yehi Kar

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

Jang Ky Maidan Mein Chaleeswan Din Tha
Nad E Ali Parh Ky Nabi Nay Jo Pukara
Aaye Ali Jis Gharhi Khaibar Ka Urha Darr

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

Yad Dilata Hun Tumhen Khum Ka Nazara
Jis Gharhi Sarkar Nay Man Kunto Pukara
Kehnay Laga Wajd Mein Ashab Ka Lashkar

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

—- Yeh Goonji Yeh Nobat Ki Sadayen
Saray Zamanay Ko Yeh Paigham Sunayen
Nara Lagatay Thay Yeh Shahbaz Qalandar

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

Zill E Raza Ho Keh Woh Farhan Ali Ho
Dono Ka Maqsad Hai Bayan Shan E Ali Ho
Sab Sar E Mehfil Kahen Hathon Ko Utha Kar

Ali Ali Haider Haider Ali Ali Haider

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply