Reciter: Farhan Ali Waris
Faqeeron Ka Bhi Kya Chahay Jahan Basti Basa Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Waheen Jannat Bana Baithay
Faraz E Dar Ho Maqtal Ho Zindaan Ho Keh Sehra Ho
Jali Ishq E Ali Ki Shama Aur Parwanay Aa Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay
Koi Mosam Koi Bhi Waqt Koi Bhi Ilaqa Ho
Jahan Zikr E Ali Chairha Wahan Deewanay Aa Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay
Ali Walon Ka Marna Bhi Koi Marnay Mein Marna Hai
Chalay Apnay Makaan Aur Ali Ky Darr Py Ja Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay
Idhar Rukhsat Kiya Sab Nay Udhar Aye Ali Lenay
Yahan Sab Ro Rahay Thay Hum Wahan Mehfil Saja Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay
Abhi Main Qabr Mein Leta Hi Tha Ek Noor Sa Phaila
Meri Bali Py Aa Kar Khud Ali E Murtaza Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay
Ali Ky Naam Ki Mehfil Saji Shehar E Khamoshan Mein
Thay Jitnay Bawafa Woh Sab Ky Sab Mehfil Mein Aa Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay
Nizamat Ky Liye Maula Nay Khud Mesum Ko Bulwaya
Woh Lehja Tha Keh Sab Danton Talay Ungli Daba Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay
Yeh Kon Aya Keh Istaqbaal Mein Sab Anbiya Uthay
Na Baithay Ga Koi Tab Tak Na Jab Tak Fatima Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay
Ali Walon Ky Marnay Ka Hai Bas Itna Sa Afsaana
Keh Jaisay Koi Masjid Say Aza Khanay Mein Ja Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay
Ali Walon Ky Naron Nay Raza Aisa Samaan Bandha
Keh Khud Maula Bhi Apnay Naam Ka Nara Laga Baithay
Ali Walay Jahan Bethe Wahin Jannat Bana Baithay