Reciter: Nadeem Sarwar
Assalam Alaika Ay Zainab O Umme Kulsoom
Assalam Alaika Ay Ruqaiya O Sakina
Assalam Alaika Ay Umme Laila O Rabab
Assalam Alaika Ay Fatima O Fizza O Lubaba
Assalam Alaika Ay Ahl E Bayt E Nabuwat
Assalam Alaika Ay Haram E Ansaar O Aiiza
Alaikam Minni Salam
Aal E Sayedun Nissa
Dukhtaran E Murtaza
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida
Al Firaq Alwida Al Firaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaq Alwida
Aal E Sayedun Nisa
Al Firaq Alwida
Dukhtaran E Murtaza
Al Firaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaq Alwida
Ao Zainab E Hazeen Dikhayen Tum Ko Haal E Zaar
Zakhm E Tan Hazar Hain Jigar Alam Say Hai Figaar
Jawan Laal Mar Gaya Kalaija Barchi Say Chida
Kalaija Barchi Say Chida Hussain Daikhta Raha
Al Firaaq Alwida Al Firaaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida
Haye Mera Bhai Qatal Ho Gaya Furaat Par
Kuch Maza Nahi Raha Hai Meri Is Hayat Par
Reh Gaya Akaila Main Ho Gaye Juda Akhi
Ho Gaye Juda Akhi Zindagi Muhaal Hai
Al Firaaq Alwida Al Firaaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida
Mera Bey Zubaan Jahan Say Tashna Lab Guzar Gaya
Aab Ky Sawal Par Sagheer Ka Gala Chida
Sula Ky Us Ko Qabar Mein Ebaa Ko Apni Jharh Kay
Ebaa Ko Apni Jharh Kay Rubab Hum Bhi Jatay Hain
Al Firaaq Alwida Al Firaaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida
Assalam Fatima Rabab Zainab E Hazeen
Salam Fizza Laila Aur Sakina Jan E Shah E Deen
Hussain Marnay Ko Chala Shaheed Kunba Ho Gaya
Shaheed Kunba Ho Gaya Ajeeb Waqt Aa Gaya
Al Firaaq Alwida Al Firaaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida
Alaika Minni Salam Ay Dukhtar E Ali Wali
Salam Saqinaan E Khaima E Hussain Bin Ali
Ghareeb O Bey Dayar Ka Salam Dilfigaar Ka
Salam Dilfigaar Ka Qubool Bibiyon Karo
Al Firaaq Alwida Al Firaaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida
Sada Yeh Suntay Hi Hua Haram Mein Nala O Fughan
Koi To Lipti Paon Say Kisi Nay Tham Li Ebaa
Kiye Thiin Halqa Bibiyan Buka Say Hashr Tha Bapa
Buka Say Hashr Tha Bapa Labon Pay Yeh Hi Noha Tha
Al Firaaq Alwida Al Firaaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida
Kharha Tha Sar Jhukaye Choor Zakhmon Say Nabi Ka Laal
Ayan Tha Chehron Say Haram Kay Bey Kasi Gham O Malaal
Kaha Hussain Nay Bahan Karo Na Is Tarah Mehan
Karo Na Is Tarah Mehan Tumhen To Karna Hai Safar
Al Firaaq Alwida Al Firaaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida
Hussain Ban Ky Karna Hai Yahan Say Sham Ka Safar
Chalay Ga Sath Sath Naizay Par Bahan Hamara Sar
Bandhay Gi Bazu Mein Rasan Shakista Ho Ga Pairahan
Shakistan Ho Ga Pairahan Karen Gay Yeh Shaqi Jafa
Al Firaaq Alwida Al Firaaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida
Anees Rukhsat E Hussain Kis Tarah Say Ho Bayan
Bandhi Hui Thiin Bibiyon Ki Soz E Gham Say Hichkian
Haram Bilak Kay Rotay Thay Jigar Figar Hotay Thay
Jigar Figar Hotay Thay Buland Hoti Thi Sada
Al Firaaq Alwida Al Firaaq Alwida
Kehtay Thay Shah E Huda
Al Firaaq Alwida