Reciter: Hashim Sisters

Zahra O Muhammad Ki Chahat Ka Sila Hain Hum
Tasleem O Reza Hain Hum Razi Ba Raza Hain Hum
Bujh Sakty Nahi Har Giz Misbah E Aza Hain Hum
Zahra Ki Dua Hain Hum Zahra Ki Dua Hain Hum

Arbab E Aza Hain Hum

Sad Shukar Zahe Qismat
Zahra Ki Dua Hain Hum

Arbab E Aza Hain Hum

Jitna Bhi Muqaddar Par Ham Naz Karen Kam Hai
Ek Hath Mein Quran Hai Ek Hath Mein Parcham Hai
Khallaq E Do Alam Ki Makhsoos Ata Hain Hum

Hussain Ya Hussain Mola

Arbab E Aza Hain Hum

Ay Kash Paye Nusrat Hum Karb O Bala Hoty
Akbar Sy Kahin Pehly Asghar Py Fida Hoty
Is Dill Ki Tamanna Ka Khud Aik Gila Hain Hum

Hussain Ya Hussain Mola

Arbab E Aza Hain Hum

Nikly Jo Najaf Sy Hum Ghazi Ka Alam Ly Kar
Raahon Ny Qadam Choomy Barzakh Tha Pas E Manzar
Mehsoos Hua Us Dam Yeh Khud Ko Keh Kya Hain Hum

Hussain Ya Hussain Mola

Arbab E Aza Hain Hum

Jab Karbobala Pahunchy Har Fard Hamara Tha
Jis Samt Nazar Dali Jannat Ka Nazara Tha
Tab Dill Mein Khayal Aaya Shahon Sy Siwa Hain Hum

Hussain Ya Hussain Mola

Arbab E Aza Hain Hum

Woh Qaom Hain Hum Jis Ki Ahmad Ny Basharat Di
Dard E Dil E Zahra Ko Jis Qaom Ny Rahat Di
Pehchano Jahan Walo Tehreek E Aza Hain Hum

Hussain Ya Hussain Mola

Arbab E Aza Hain Hum

Har Roz Tarhapty Hain Shabbir Ki Ghurbat Par
Phirty Hain Nigahon Mein Ashoor Ky Sab Manzar
Had Yeh Hai Keh Ab Khud Mein Ek Karbobala Hain Hum

Hussain Ya Hussain Mola

Arbab E Aza Hain Hum

Hum Logon Ki Qismat Mein Rakha Gaya Sheh Ka Gham
Kaisy Na Bichayen Phir Ghar Ghar Mein Saf E Matam
Sach Yeh Hai Keh Zahra Ki Makhsoos Dua Hain Hum

Hussain Ya Hussain Mola

Arbab E Aza Hain Hum

Asif Nahi Socha Tha Ummat Bhi Dagha Dy Gi
Bey Jurm Aseeron Ki Durron Sy Khabar Ly Gi
Sab Bhool Gaye Hashim Tasleem Shuda Hain Hum

Hussain Ya Hussain Mola

Arbab E Aza Hain Hum

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply