Reciter: Tejani Brothers
Ay mere aun-o-muhammad, ay mere aun-o-muhammad
Mujhe khabar hai ke pyaase, bohot ho tum mere bête
Magar tumhari nigahei(n), na jaaye darya kinaare
Tumhe pilayengi paani, maa fatemah lab-e-kausar, ay mere aun-o-muhammad
Ay mere aun-o-muhammad, ay mere aun-o-muhammad
Tumhe khabar hai ke mamu, bohot zaeef hai tere
Subha se leke abhi tak, unho(n) ne laashei(n) uthaaye
Giro jo zee(n) se to kehna, faqat salaam ay dilawar , ay mere aun-o-muhammad
Ay mere aun-o-muhammad, ay mere aun-o-muhammad
Tumhare maamu ke rishte, mei jis tarha se hai dilbar
Adab wafa aur muhabbat, wo aye tujh mei simat kar
Ye yaad ho ke ho dono, ik doosre ke biraadar, ay mere aun-o-muhammad
Ay mere aun-o-muhammad, ay mere aun-o-muhammad
Pukaare Aun-o-Muhammad, kalaam maa ka ye sunkar
Na sharm ayegi tumko, na khof kar haaye madar
Ham is tarha se larenge, ke khud kahenge ye haider, ay mere aun-o-muhammad
Ay mere aun-o-muhammad, ay mere aun-o-muhammad
Lare the aisi tarha se, Kahe ye lashkar-e-kuffaar,
lo agaye hai ye ran mei, ali-o-jaffer-e-tayyaar
khayaam se jo ye dekhe, pukare fakhr se sarwar, ay mere aun-o-muhammad
Ay mere aun-o-muhammad, ay mere aun-o-muhammad
the teen din ke wo pyaase, lare to kitne larenge
har ik taraf se tha hamla, wo gir ke reyt pa aaye
gire ye dono to Zainab, rakha tha sajde me yu(n) sar, ay mere aun-o-muhammad
Ay mere aun-o-muhammad, ay mere aun-o-muhammad
Ye maa(n) ka sabr hai aisa, ke karbala se madina
Wo apne bête ke khatir, bahayi ashk kabhi na
Ki apne bhayi ka girya, kabhi na boli ye madar, ay mere aun-o-muhammad
Ay mere aun-o-muhammad, ay mere aun-o-muhammad
Sambhaal payi na dil ko, Zainab jo ponchi yu(n) ghar mei
Nanne musalle ko chume, kabhi wo chume khilonei(n)
Khamosh gar mei akeli, pukari maa(n) ye sissak kar, ay mere aun-o-muhammad
Ay mere aun-o-muhammad, ay mere aun-o-muhammad
Yu(n) sabira hai wo leykin, wo maa(n) bhi hai ay “Tejani”
Unhe rulayegi haaye, pisar ki daagh-e-judaayi
Har eik saans kahegi, har eik dam zindagi bhar, ay mere aun-o-muhammad