Reciter: Farhan Ali Waris

Sham E Ghareeban Aag Ka Manzar
Aaye Najaf Say Fatah E Khaibar
Ujrhi Hui Zainab Nay Daikha
Rotay Huye Jab Baap Ka Chehra

Maqtal Mein Goonja Zainab Ka Noha
Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Kya Kya Masayeb Tootay Hain Mujh Par
Batla Raha Hai Yeh Khooni Manzar
Ek Din Mein Ujrha Mera Bhara Ghar
Na Rahay Bhai Na Koi Beta

Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Yeh Karbala Hai Ya Khooni Jangal
Daikho To Baba Tum Sooye Maqtal
Sab Ky Laho Say Hai Bheega Hai Aanchal
Saray Azeezon Ka Gham Uthaya

Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Daikh Sako To Yeh Daikho Baba
Bikhra Hua Hai Qasim Ka Sehra
Hai Tukrhay Tukrhay Dulha Ka Lasha
Dill Ko Sambhalay Roti Hai Farwa

Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Bhoolay Ga Kaisay Yeh Qalb Mera
Ghazi Kay Shanay Akbar Ka Seena
Bano Ka Noha Asghar Ka Jhoola
Dill Mein Hai Meray Yeh Dagh Kaisa

Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Pala Tha Jis Ko Maan Ban Ky Mainay
Chaida Kalaija Us Ka Sinaan Nay
Sun Lo Zara Noha Us Ki Maan Say
Laila Ka Dill Bhi Gham Say Chida Tha

Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Kya Tum Nay Baba Daikhi Taraai
Bazu Bureeda Hai Mera Bhai
Baad Us Ky Hum Py Uftaad Hui
Tha Us Ky Dam Say Parda Hamara

Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Abid Ko Shoalon Say Bhi Nikala
Deti Thi Bachon Ko Main Sahara
Ahl E Haram Ko Mainay Sambhala
Tanha Diya Hai Khaimon Ka Pehra

Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Yeh Meray Aansoo Kehtay Hain Baba
Is Tarah Ronay Say Kya Milay Ga
Jaisay Bhi Ho Ab Jeena Parhay Ga
Zindagi Bhar Ka Gham Mainay Paya

Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Farhan O Mazhar Kaisa Tha Manzar
Baap Kay Qadmon Say Woh Lipat Kar
Kehti Thi Zainab Mera Luta Ghar
Waqt E Madad Tha Koi Na Aya

Ay Mere Baba Ay Mere Baba

Maqtal Mein Goonja Zainab Ka Noha

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply