Reciter: Tejani Brothers

Shame ghariban, shame ghariban

Uthta hai dhuwan, zainab, Chalti hai hawa, zainab

Uthta hai dhhuwa(n), chalti hai hawa, aur dekh rahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Matqool huwa, haider ka pisar
Roti thi zamee(n) rota tha qamar
Thakta tha nahi shaytaan magar
Pamaal huwa zahra ka jigar
Jaise duba suraj ka nishaa(n)
Waise duba dil zainab ka
Aur dekh rahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Pamal huwe hai sab lashei(n)
Aur khaak huwe sare khaymei(n)
Abbas nahi akbar bhi nahi
Roti hai sakina maqtal mei(n)
Bali bhi chhini daman bhi jala
Sab bibiyon ki chhinti hai rida
Aur dekh rahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Hai khun ka dariya karbal mei,
Sote hai bahattar maqtal mei
Sab bibiyan hai bechain yahan
Khamosh hai bachei(n) jangal mei
Hota hai yateemo(n) par hamla
Aur maarke haste hai(n) aada
Aur dekhrahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Ik jalte huwe khaymo me gira
Salaare haram hai ghash me parra
Jal jaye yahan ya ban me chale
Batlado hamme mere maula
Zainab ki pareshani hai yahi

Beparda hai kunba ahmed ka
Aur dekh rahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Pehre pe hai ab zainab tanha
Hathon me liye tutta neza
Abase harram banna hai usse
Hai asma(n) ab uska parda
Bachhon ko sambhale ya khud ko
Koyi na sahara hai uska
Aur dekh rahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Kehti hai ye asgher ki madar
Arman mere hai khun mei tar
Maqtal se na aaya phir wapas
Cheh maah ka mera noore nazar
Pani na muyassar usko huwa
Garden pe wo teere sitam khaya
Aur dekh rahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Masum sakina roti huwi
Ghabra ke yun maqtal me aayi
Chillayi ke ay mere baba
Kis haal me hai beti ye teri
Khati hun tamache chehre par
Paas apne bulalo ay baba
Aur dekh rahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Pichhe bachi ban me aakar
Kya dekhti hai binte haider
Aaram se soti hai bachhi
Ik besar laash ke sine par
Hai charo taraf khu(n) ka darya
Sunsaan hai jungal ye saraa
Aur dekh rahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Us laash “tejani” kit hi sada

Sunlo to zara meri behna
Islam bachana hai tumko
Aur saath hai har mushkil sehna
Tum dekh chuki ho jang meri
dekhunga mei ab sabr tera
Aur dekh rahi hai karbobala

Ay shame ghariba(n), wawayla, ay shame ghariba(n)

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply