Ayat Hai Fatima Lyrics Shakeel Baltistani Manqabat Bibi Fatima

Ayat Hai Fatima Lyrics written in urdu and english text and recited by manqabat khuwan Shakeel Baltistani about Bibi Fatima. View and download Shakeel Baltistani manqabat lyrics similar to lyrics of Ayat Hai Fatima on Khairilamal.

Ayat Hai Fatima Mp3 Download

To download Ayat Hai Fatima in mp3 format, please click on the image below.

Ayat Hai Fatima Lyrics in english text

Marziya Raziya Tahira Sayeda

Quran Ki Ayaton Mein Woh Ayat Hai Fatima
Woh Surah E Kausar Ki Ibarat Hai Fatima

Quran Ki Ayaton Mein Woh Ayat Hai Fatima

Yun Shan O Manzilat Mein Bahut Hi Buland Hai
Fakhr E Ali Hain Umme Tahaarat Hai Fatima

Quran Ki Ayaton Mein Woh Ayat Hai Fatima

Tazeem Ko Uthty Hain Nabi Ahmad E Mursal
Dono Jahan Mein Fakhr E Risalat Hai Fatima

Quran Ki Ayaton Mein Woh Ayat Hai Fatima

Tasbeeh E Fatima Wohi Parhta Hai Subh O Sham
Jis Ky Ragon Mein Khoon E Taharat Hai Fatima

Quran Ki Ayaton Mein Woh Ayat Hai Fatima

Hasnain Ki Woh Maan Hain Dukhtar Nabi Ki Hain
Jigr E Rasool E Noor E Wajahat Hai Fatima

Quran Ki Ayaton Mein Woh Ayat Hai Fatima

Ankhon Py Jo Parha Hai Woh Parda Hata Zara
Kar Dy Zahoor E Mehdi Yeh Hajaat Hai Fatima

Quran Ki Ayaton Mein Woh Ayat Hai Fatima

Gar Woh Kahen To Samnay Jhukta Hai Chand Bhi
Farhat Jahan Mein Shama E Hidayat Hain Fatima

Quran Ki Ayaton Mein Woh Ayat Hai Fatima

Marziya Raziya Tahira Sayeda

Leave a Reply

Your email address will not be published.