Azadari Na Chorenge Lyrics written in Urdu and English text recited by Noha Khuwan Farhan Ali Waris in 2020. Find out more noha lyrics by Farhan Ali Waris similar to lyrics of Azadari Na Chorenge on Khairilamal.
Azadari Na Chorenge Lyrics by Farhan Ali Waris in English text
Hussain Hussain Hussain Hussain
Hai Irada Hai Yeh Wada Bibi Zehra Sy
Muhammad Ky Gharany Sy Wafadari Na Chorenge
Azadari Na Chorenge Azadari Na Chorhen Gy
Siyah Kaprhy Siyah Chadar Hussaini Ki Nishani Hai
Zuban Par Noha Khuwanon Ky Luty Ghar Ki Kahani Hai
Kisi Qeemat Py Is Ghar Sy Wafadari Na Chorhen Gy
Azadari Na Chorhen Gy Azadari Na Chorenge
Alamdar E Hussaini Sy Azadaron Ka Wafa Hai
Hawa Jitni Mukhalif Ho Magar Apna Irada Hai
Yeh Bazoo Kat Bhi Jayen To Alamdari Na Chorhain Gay
Azadari Na Chorhengy Azadari Na Chorhen Gay
Ham Any Wali Naslon Ko Yehi Baten Batayen Gy
Jo Hain Aghosh E Madar Mein Unhen Matam Sikhayen Gy
Aqeedy Ki Zameenon Par Shajar Kari Na Chorhen Gy
Azadari Na Chorhen Gy Azadari Na Chorhen Gy
Hamesha Zor E Batil Sy Ali Waly Hi Jeety Hain
Yazeedi Aur Hussaini To Azal Sy Do Qabeelay Hain
Woh Ghaddari Na Chorhen Gy Yeh Gham Khuwari Na Chorehen Gy
Azadari Na Chorehen Gy Azadari Na Chorhengy
Shab E Ashoor Ky Jagy Huon Sy Hum Ko Nisbat Hai
Yeh Shab Baidarian Kya Hain Aqeedat Hai Mawaddat Hai
Muqaddar Ko Jagana Hai Yeh Baidari Na Chorhen Gy
Azadari Na Chorenge Azadari Na Chorenge
Julooson Ki Yeh Salari Isi Ghar Sy Hui Jari
Gaye Abbas Duniya Sy Mili Zainab Ko Salari
Yeh Salari To Wirsa Hai Yeh Salari Na Chorengy
Azadari Na Chorengy Azadari Na Chorengy
Mery Mola Tery Zaayer Hadeeson Ki Sand Ly Kar
Tery Rozy Py Ayen Gy Tery Jad Ki Madad Ly Kar
Yeh So Hajj Ky Barabar Hai Yeh Zawwari Na Chorengy
Azadari Na Chorenge Azadari Na Chorenge
Haram Bhi Sath Hain Tery Safar Mein Ay Meri Dukhiya
Sar E Shabbir Beti Sy Yeh Doran E Safar Bola
Tumhara Sath Yeh Qaidi Meri Pyari Na Chorenge
Azadari Na Chorenge Azadari Na Chorhenge
Yehi Haq Bat Hai Logon Kahen Farhan Aur Mazhar
Ibadat Sy Ibadat Ka Taqaabul Hum Karen Kiun Kar
Namazen Bhi Parehn Gy Hun Azadari Na Chorhen Ge
Azadari Na Chorenge Azadari Na Chorhain Gay