Reciter: Farhan Ali Waris

Ek Bibi Yad Mein Baba Ki
Moti Ashkon Kay Piroti Hai
Jagti Hai Na Soti Hai
Bas Ro Ro Kar Yeh Kehti Hai

Meray Baba Haye Baba Aao Na

Baba Aao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Bayn Karun Kab Tak Baba
Main Ashkon Ki Barsaton Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Tum Jab Say Gaye Sathi Meri
Bemari Hai Tanhai Hai
Uthta Hi Nahi Sar Bistar Say
Kuch Aisi Naqaahat Chaai Hai
Ashkon Ky Deep Jalati Hun
Tanhai Ki In Raton Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Dukhi Beemari Ka Kafi Tha
Kiun Dard E Judai Dy Ky Gaye
Ek Choti Behan Ham Jhooli Thi
Tum Sath Usay Bhi Lay Kay Gaye
Woh Hoti To Dill Behlati
Main Us Say Baton Baton Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Maayen To Sahara Hoti Hain
Beti Ky Liye Har Toofan Mein
Main Kaisay Guzaarun Gi Lamhai
Tanhai Kay Aisay Zindaan Mein
Khat Likhnay Ko Bas Rehta Hai
Qirtaas Qalam Bas Hathon Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Chay Maah Huye Aai Na Khabar
Pardais Ko Janay Walon Ki
Kho Jaye Na Rotay Rotay Kahin
Beenai Hamari Ankhon Ki
Dill Darta Hai Uftaad Na Ho
Meray Baba Teri Raahon Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Khali Hujray Khali Bistar
Jab Daikhti Hun Baba Ghar Mein
Ek Hook Si Dil Mein Uthti Hai
Ek Dard Sa Hota Hai Sar Mein
Ho Jatay Hain Aansoo Bhi Shamil
Baba Sughra Ki Aahon Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Woh Aangan Soona Soona Hai
Jahan Ghutniyon Chalta Tha Asghar
Mehrab Woh Dil Tarhpati Hai
Detay Thay Azan Jis Mein Akbar
Aa Ja Asghar Aa Ja Akbar
Awaz Hai Meri Karaahon Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Jis Din Say Gaye Ho Tum Baba
Main Sochti Rehti Hun Aksar
Tay Kaisay Kiya Ho Ga Tum Nay
Sehraon Mein Garmi Ka Yeh Safar
Jab Koi Shajar Rastay Mein Nahi
Lagay Khaimay Kaisay Chaon Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Rehan Khabar Sughra Ko Na Thi
Woh Qafila Ab Na Aye Ga
Sab Qatl Huye Pyasay Ran Mein
Ek Shakhs Sunanay Laye Ga
Kar Sabr Jigar Ko Tham Lay Ab
Mat Naam Lay Un Ka Sadaon Mein

Baba Ao Na

Din Kat’tay Hain Ro Ro Kar
Raten Kat’teen Faryadon Mein

Baba Ao Na

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply