Reciter: Mir Hasan Mir

Hussain Hussain
Hussain Hussain

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Bain Ul Haramain Bain Ul Haramain
Bain Ul Haramain Bain Ul Haramain

Khaima Zan Ahl E Jinaan Hain Do Haram Ky Darmian
Ashiqon Ky Karawan Hain Do Haram Ky Darmian
Aasman Waly Kahan Hain Do Haram Ky Darmian
Do Jahan Ky Do Jahan Hain Do Haram Ky Darmian
Jis Muhammad Se Yahan Chahen Mulaqaten Karen
Aaiye Is Arsh Par Allah Sy Baten Karen

Bain Ul Haramain
Bain Ul Haramain

Hain Aik Taraf Abbas Terey
Aur Aik Taraf Hain Mola Hussain
Bain Ul Haramain

Ay Arz E Yaqeen Kaaby Ki Zameen
Kehti Hai Tujhe Kaaba Kosain
Bain Ul Haramain

Yeh Zameen Chand Sitaron Ki Jabeen Lagti Hai
Kehkashan Is K Tasadduq Mein Haseen Lagti Hai
La Makani Ki Hadon Se Yeh Qareen Lagti Hai
Yeh To Kosain Sy Agy Ki Zameen Lagti Hai
Jo Arsh Py Tha Pehny Nalain
Us Ny Bhi Utari Hain Nalain
Bain Ul Haramain

Bolny Lagti Hai Khamoshi E Jazbat Yahan
Ishq Ki Jari Hai Sadiyon Se Ibadaat Yahan
Sary Ashiq Hamen Mil Jaty Hain Ek Sath Yahan
Aur Nabiyon Sy Bhi Hoti Hai Mulaqat Yahan
Adam Bhi Yahin Eesa Bhi Yahin
Milty Hain Yahin Par Zulqarnain
Bain Ul Haramain

Is Zameen Par Chaly Ana Hi Hai Mairaj E Bashar
Sidra E Ishq Hai Kab Aam Hai Yeh Rahguzar
Taayer E Aqal K Jalty Hain Yahin Par Sheh Par
Farsh Ban Jata Hai Khud Arsh Yahan Par Aa Kar
Qadmon Sy Na Chal Ja Sar Ky Bal
Rehti Hain Yahan Ummul Hasnain
Bain Ul Haramain

Teri Qismat Sa Na Qismat Ny Sitara Dekha
Khalq Kar K Tujhe Khaliq Ny Dobara Dekha
Sar Zameenon Py Faqat Tera Ijara Dekha
Arbaeen Par Yeh Zamaney Ny Nazara Dekha
Daman Mein Tere Ek Sath Bee Gar
Ayen To Samaan Jayen Konain
Bain Ul Haramain

Sar Zameen Par Teri Hoti Hai Bashar Ki Mairaj
Dekh Lena Tujhe Hoti Hai Nazar Ki Mairaj
Tujh Py Sajdy Sy Hua Karti Hai Sar Ki Mairaj
Khatam Hai Tujh Py Bulandi Ke Safar Ki Mairaj
Kya Samjhen Gy Woh Mairaj Teri
Jo Samjhy Nahi Mairaj Ki Ain
Bain Ul Haramain

Kahin Jaty Huye Dekha Hi Nahi Dono Ko
Ishq Ny Dekha Hai Barson Se Wahin Dono Ko
Sooratan Janty Hain Ahl E Yaqeen Dono Ko
Dhundny Jao Na Duniya Mein Kahin Dono Ko
Ashoor Ky Din Matam Karty
Ayen Gy Nazar Tum Ko Meerayn
Bain Ul Haramain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply