Reciter: Mesum Abbas
haye
Hussain Hussain Hussain Hussain
Ay Rony Walo Suno Kaisi Pur Dard Yeh Riwayat Hai
2 Muharram Ko Sar E Karbobala
Karwan E Shah E Mazloom Ruka
Ek Qabeela Bani Asad Nami
Un Sy Mola Ny Yun Khitab Kiya
Mainy Yeh Karbala Khareedi Hai
Kal Yahan Par Luty Ga Ghar Mera
Bey Kafan Lashy Sab Parhy Hon Gy
Qabr Koi Nahi Banaye Ga
Ay Bani Asad Walo
Jab Koi Na Aye Tum Zaroor Ana
In Musafiron Ki Qabr Tum Banana
Ay Bani Asad Walo
Bad Mardon Ky Kaha Auraton Sy Mola Ny
Ittefaqan Jo Tumhara Guzar Ho Maqtal Sy
Jab Mery Aqraba Ky Lashy Tumhen Aye Nazar
Us Gharhi Meri Wasiyat Ko Yad Karty Huye
Bey Kafan Ho Lashy Tum Rida Orhana
In Musafiron Ki Qabr Tum Banana
Ay Bani Asad Walo
Phir Shah E Karbobala Ny Kaha Yeh Bachon Sy
Iltija Yeh Hai Keh Ashoor Jab Guzar Jaye
Khelty Waqt Bahany Sy Tum Idhar Ana
Apny Haton Mein Bayabaan Ki Khak Uthaye Huye
Sari Maiyaton Ko Khak Mein Chupana
In Musafiron Ki Qabr Tum Banana
Ay Bani Asad Walo
Al Qissa Keh Ashoor Ka Sooraj Nikal Aya
Bey Yaro Madadgar Tha Zehra Ka Gharana
Ansar Hon Bhai Hon Pisar Hon Keh Bhateeja
Har Aik Ka Lasha Mery Mola Ny Uthaya
Roty Thy Haram Bey Kas O Mazloom Hirasan
Karbal Ki Zameen Ban Gai Sab Ganj E Shaheedan
Phir Giarah Muharram Ko Haram Ban Gaye Qaidi
Thiin Betian Zehra Ki Rida Sar Pa Nahi Thi
Sajjad Ko Pehnai Gai Hathkarhi Bairhi
Panjon Py Safar Karti Thi Shabbir Ki Pyari
Maqtal Ka Bhi Ahwaal Suno Momino Ro Kar
Ab Terah Muharram Ka Bayan Karta Hun Manzar
Bas Yeh Sun Kar Asadi Peer O Jawan Ghar Sy Chaly
Bailchay Apny Sambhaly Huye Maqtal Pahunchy
Thy Pareshan Keh Ab Raah Dikhaye Ga Kon
Kon Sa Lasha Hai Kis Ka Yeh Bataye Ga Kon
Ya Bayak Dasht E Bayabaan Mein Utha Gard O Ghubaar
Sab Ny Dekha Keh Koi Ata Hai Ghorhy Py Sawar
Go Keh Us Waqt Safar Mein Thy Mayal E Faryad
Aaye Andaz E Imamat Sy Dasht Mein Sajjad
Ro Ky Phir Kehny Lagy Dard Ky Sataya Hun
Apny Pyaron Ko Yahan Dafn Karny Aaya Hun
Waada Jo Kiya Tha Waada Woh Nibhao
Main Batata Jaun Qabr Tum Banao
Ay Bani Asad Walo
Phir Mery Mola Ny Ro Kar Bani Asad Sy Kaha
Qabr Tum Khodny Ki Zehmaten Nahi Karna
Jaisy Main Aya Hun Kal Aye Thy Mery Nana
Qabren Mazloomon Ki Sab Khodi Ja Chuki Wallah
Dekho Maiyyaton Ko Sath Mein Ly Aao
Main Batata Jaun Qabr Tum Banao
Ay Bani Asad Walo
Tham Ky Qalb O Jigar Janib E Nashaib Chalay
Bap Ki Lash E Bureeda Py Buka Karny Lagy
Lash E Pamal Ky Ahza To Sabhi Bikhry Thy
Mola Sajjad Ny Logon Sy Kaha Roty Huye
Main Samaitun Ahza Tum Chatai Lao
Main Batata Jaun Qabr Tum Banao
Ay Bani Asad Walo
Sar Kahan Bazoo Kahan Aur Kahan Hai Seena
Bayn Karty Huye Phir Lash Ko Tarteeb Diya
Jis Gharhi Seena E Shabbir Py Sar Apna Rakha
Aai Bey Sakhta Sajjad Ky Honton Py Buka
Baba Baba Wa Museebata Wa Abata
Bap Ky Seeny Py Bey Sheer Ka Bhi Lasha Hai
Phir Mera Mola Yeh Un Logon Ko Samjhata Hai
Do Qadam Peechy Hato Waqt E Qareen Ata Hai
Kiun Keh Masoom Ko Masoom Hi Dafnata Hai
Meri Bey Kasi Py Ashk Tum Bahao
Main Batata Jaun Qabr Tum Banao
Al Gharaz Mola Mera Ganj E Shaheedan Pahuncha
Qasim O Aon O Muhammad Ko Wahin Dafn Kiya
Kar Ky Phir Joan O Habib Ibne Mazahir Py Buka
Dafn Akbar Ko Kiya Karty Huye Wawaila
Aik Ek Lasha Mera Mola Utha Kar Laya
Qabr Jis Ki Thi Jahan Us Ko Wahin Dafnaya
Haye Haye Haye
Ab Lab E Nehr Gaye Lasha Chacha Ka Paya
Lash Ky Tukrhy Jama Kar Ky Yehi Farmaya
Aap Ky Bad Chacha Aisi Tabahi Aai
Qatl Baba Huye Akbar Ny Sinan Bhi Khai
Chadaren Chin Gaiin Jab Sham E Ghareeban Aai
Aur Phir Sham Ky Balwy Mein Thi Zehra Jai
Khatm Hai Mazhar O Mesum Ka Yahin Par Noha
Keh Chuky Lash E Alamdar Sy Jab Haal Apna
Asadi Logon Ky Hamraah Uthaya Lasha
Haye Abbas E Alamdar Ko Phir Dafnaya
Aaj Bhi Roza E Shabbir Py Woh Aty Hain
Asadi Log Usi Rasm Ko Dohraty Hain