Reciter: Nadeem Sarwar
Hui Jab Qatl Sheh Ki Faoj Sari
Achanak Aai Hai Dar Ki Sawari
Tarhap Kar Sani E Zehra Pukari
Ffutada Paikar Ast Uryaan Baradar
Baradar E Jan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar
Baradar E Jan Zainab
Sukhan Yeh Sun Ky Haider Ro Ky Bolay
Na Ro Phat’ta Hai Dil Ronay Say Teray
Lay Ansoo Ponch Lay Daman Say Meray
Main Baba Hun Baba Hun Zainba
Mujhay Pehchan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab
Chali Jis Roz Tu Shehar E Nabi Say
Lehad Zehra Nay Chorhi Hai Tabhi Say
Meray Din Rat Guzray Bey Kali Say
Nahi Ek Pal Raha Ghafi Main Tujh Say
Teray Qurban Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab
Suni Zainab Nay Jab Awaz E Haider
Kalaijay Pay Chalay Dukhiya Kay Khanjar
Pukari Ro Ky Woh Mazloom O Muztar
Ab Aaye Ho Chali Jab Qaid Ho Kar
Sooye Zindan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab
Luta Ghar Chin Gaiin Sar Say Ridayen
Hum Apny Sar Kahan Ja Kar Chupayen
Faqat Khaimon Ki Jalti Lakrhiyan Hain
Batao Tum Bhala …… Mein Kaisay
Rakhay Aosaan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab
Sooye Maqtal Zara Daikhen To Baba
Parha Hai Bey Kafan Bhaiya Ka Lasha
Garha Hai Seena E Akbar Mein Naiza
Nahi Hai Sar Kisi Lashay Ky Tann Par
Bahut Hairan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab
Zara Dariya Pay Ja Ky Daikho Baba
Kata Kay Hath Waan Sota Hai Saqqa
Woh Jis Ko Daikh Ky Dill Keh Raha Tha
Rasan Bazu Mein Koi Teray Bandhay
Nahi Aasan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab
Sada Shabbir Ki Maidan Say Aai
Jigar Ko Tham Lay Zehra Ki Jai
Luti Bano Ki Sehra Mein Kamai
Fida Mujh Par Hua Hai Teer Kha Kar
Tera Nadaan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab
Meray Aon O Muhammad Bhookay Pyasay
Jab Aye Rann Sy Un Dono Kay Lashay
Do Aansoo Bhi Nahi Main Nay Bahaye
Daba Ky Reh Gai Hai Dill Mein Apnay
Bahut Armaan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab
Hua Tukrhay Badan Qasim Ka Meray
Hain Taza Bhool Bhi Sehray Ky Jis Kay
Adoo Nay Lash Par Dorhaye Ghorhay
Jab Aai Lash Us Karyal Jawan Ki
Hui Bey Jaan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab
Masayeb Tum Py Jo Tootay Hain Bibi
Na Likh Paye Ga Koi Hashr Tak Bhi
Magar Khuwahish Hai Meri Sirf Itni
Kiye Jo Kam Tu Nay Bad E Sarwar
Likhay Rehan Zainab
Futada Paikar Ast Uryaan Baradar Baradar E Jan Zainab