Reciter: Farhan Ali Waris
Ali Ali Ali Ali Ali
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khuwahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khuwahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Gunguna Ky Ghadeeri Tarana
Poora Kalma Sunana Parhay Ga
Humsari Kar Raha Hai Ali Say
Thek Hai Hum Bhi Manen Gay Lekin
Shaikh Tujh Ko Bhi Do Ungliyon Say
Bab E Khaibar Uthana Parhay Ga
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khawahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Keh Ky Marhab Say Yeh Taigh E Haider
Lay Kay Angrhai Gardan Pay Baithi
Tu Bahut Urh Raha Hai Hawa Mein
Teray Sar Ko Urhana Parhay Ga
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khuwahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Maot Jeenay Ki Day Gi Duayen
Zindagi Naaz Uthaye Gi Lekin
Bughz E Haider Ky Moozi Maraz Say
Apnay Dill Ko Bachana Parhay Ga
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khawahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Yad Rakh Murtaza Kay Mukhalif
Tu To Kya Hai Teray Baap Ko Bhi
Jaye Paidaish E Murtaza Pay
Apnay Sar Ko Jhukana Parhay Ga
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khuwahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Ya Hussain Apnay Seenon Py Likho
Ya Ali Likh Lo Apnay Labon Par
Phir Fishar E Lahad Bhi Na Ho Ga
Aur Na Shajra Batana Parhay Ga
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khuwahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Ghar Ko Jannat Numa Hai Banana
Anbiya Ko Agar Hai Bulana
Ay Musalman Tujhay Apnay Ghar Mein
Jashan E Haider Manana Parhay Ga
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khawahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Bagh E Jannat Mein Jana To Koi
Masala Hi Nahi Meray Bhai
Han Magar Dar Py Rizwan Ko Pehlay
Naqsh E Matam Dikhana Parhay Ga
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khuwahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Noor E Ishq E Ali Dill Mein Bhar Kay
Khak E Karbobala Say Sanwar Kay
Bagh E Jannat Mein Farhn O Gohar
Karbala Ho Kay Jana Parhay Ga
Gar Hai Jannat Mein Janay Ki Khawahish
Bazm E Haider Mein Ana Parhay Ga
Ali Ali Ali Ali Ali