Reciter: Farhan Ali Waris
Haye Sughra Haye Haye Sughra
Yasrab Say Shah E Deen Jo Sooye Karbala Chalay
Ba Hasrat O Masayeb O Aah O Buka Chalay
Israr Tha Yeh Fatima Sughra Ka Shah Say
Baba Khudara Sath Mujhay Lay Kay Jaiye
Sun Kar Yeh Fughan Yeh Fatima Sughra Say Bolay Shah
Beemar Hai Tu Sughra
Batla Day Mujhay Itna
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Asan Nahi Beta Raahon Ki Jafa Sehna
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Beemar Hai Tu Sughra
Batla Day Mujhay Itna
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Har Gaam Museebat Hai Raahon Mein Aziyat Hai
Tu Chal Nahi Paye Gi Kanton Py Musafat Hai
Tu Ghar Ka Ujala Ay Sughra
Tu Soorat E Zahra Ay Sughra
Kar Sabr Ka Yara Ay Sughra
Kar Zabt Khudara Ay Sughra
Tu Seh Nahi Paye Gi
Hai Sakht Safar Beta
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Beemar Hai Tu Sughra
Batla Day Mujhay Itna
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Ham Ko Hai Jahan Rukna Pur Haol Hai Woh Sehra
Kehtay Hain Jisay Karbal Hum Ko Hai Wahan Lutna
Har Samt Qaza Hai Ay Sughra
Na Aab O Ghiza Hai Ay Sughra
Karbal Woh Jaga Hai Ay Sughra
Bas Zulm O Jafa Hai Ay Sughra
Is Gham Say To Behtar Hai
Tu Ghar Mein Rahay Tanha
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Beemar Hai Tu Sughra
Batla Day Mujhay Itna
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Lay Goud Mein Asghar Ko Is Nanhay Musafir Ko
Jee Bhar Ky Tu Ay Sughra Ab Daikh Lay Akbar Ko
Ek Mera Gul E Tar Ay Sughra
Ek Shakl E Payambar Ay Sughra
Dy Rukhsat Mil Kar Ay Sughra
Tayar Hain Dilbar Ay Sughra
Yeh Qafila Jata Hai
Ab Janib E Karbobala
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Beemar Hai Tu Sughra
Batla Day Mujhay Itna
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Soi Ek Din Sughra Aur Khuwab Mein Yeh Daikha
Lut’ta Hai Bhara Kunba Shabbir Huye Tanha
Kehtay Thay Tarhap Kar Ay Sughra
Meri Pyari Dukhtar Ay Sughra
Tu Daikh Yeh Manzar Ay Sughra
Koi Nahi Yaawar Ay Sughra
Ab Jaan Liya Tu Nay
Main Is Liye Kehta Tha
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Beemar Hai Tu Sughra
Batla Day Mujhay Itna
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Ghabra Ky Uthi Muztar Nani Say Kaha Ro Kar
Daikha Hai Abhi Mainay Kehtay Thay Yehi Sarwar
Ab Meray Galay Par Ay Sughra
Chalnay Ko Hai Khanjar Ay Sughra
Koi Nahi Yawar Ay Sughra
Maray Gaye Dilbar Ay Sughra
Yeh Soch Key Hi Mainay
Bolay Tha Tujhay Beta
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Beemar Hai Tu Sughra
Batla Day Mujhay Itna
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Shabbir Ka Jab Kunba Nana Kay Shehar Pahuncha
Farhan Aur Safdar Yeh Zainab Nay Kaha Sughra
Barbad Hua Ghar Ay Sughra
Hua Qatl Baradar Ay Sughra
Abbas Aur Akbar Ay Sughra
Koi Nahi Sar Par Ay Sughra
Is Wastay Bhai Nay
Bola Tha Tujhay Beta
Lay Jaun Tujhay Kaisay
Beemar Hai Tu Sughra
Batla Day Mujhay Itna
Lay Jaun Tujhay Kaisay