Reciter: Nadeem Sarwar

Abid Nay Kaha Aa Kay Qareen Bint E Ali Say
Ab Sooye Watan Chaliye Phuphi Jan Main Sadqay

Sun Kar Yeh Khabar Zakhm E Jigar Phat Gaye Saray
Marqad Say Lipat Kar Kiye Zainab Nay Yeh Nalay

Main Jab Bhi Watan Jaun Gi Bhaiya
Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Main Jab Bhi Watan Jaun Gi Bhaiya
Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Atthara Baras Ka Ali Akbar Bhi Yahin Hai
Chay Maah Ka Nanha Ali Asghar Bhi Yahin Hai
Hai Khak Basar Farwa Ka Dilbar
Pamal Banda Qasim E Muztar
Kis Dill Say Main Ghar Jaun Gi Bhaiya

Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Kya Din Thay Keh Abad Tha Zehra Ka Gulistan
Yeh Kis Ki Nazar Kha Gai Sab Ho Gaya Veeran
Baqi Nahi Ab Koi Nigehbaan
Sab Bhai Meray Ho Gaye Bey Jaan
Mar Jaun Gi Mar Jaun Gi Bhaiya

Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Abbas Say Aur Tum Say Hai Zainab Ko Nidamat
Zindan Mein Chorh Aai Hun Dono Ki Amanat
Kya Toot Gai Mujh Py Qayamat
Kis Darja Hai Zainab Ko Khijalat
Woh Lab Pay Nahi Laun Gi Bhaiya

Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Sota Hai Mera Dhoop Mein Nanha Ali Asghar
Kehti Hai Yeh Bano Keh Hai Wali Bhi Yahin Par
Zindan Mein Ek Mar Gai Dukhtar
Bethay Gi Na Ab Saye Mein Madar
Kya Keh Ky Main Samjhaun Gi Bhaiya

Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Tayyar Nahi Sooye Watan Janay Ko Laila
Woh Kehti Hai Main Chorh Dun Kis Tarha Say Tanha
Atthara Baras Ka Mera Beta
Reh Jaye Ga Is Ban Mein Akela
Kaisay Usay Samjhaun Gi Bhaiay

Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Amad Ki Khabar Sun Ky Anees Ayen Gay Saray
Yeh Neel Nuyaman Hain Jo Bazu Pay Rasan Kay
Gar Pooch Liya Mujh Say Kisi Nay
Batlaun Gi Un Ko Main Yeh Kaisay
Bas Sharm Say Mar Jaun Gi Bhaiya

Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Main Jab Bhi Watan Jaun Gi Bhaiya

Bin Teray Na Ghar Jaun Gi Bhaiya

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply