Reciter: Farhan Ali Waris
Haye Haye Haye Haye Haye Haye
Khamoshiyon Say Hi Poocho In Aansuon Say Hi Poocho
Barhay Zulm Raahon Mein Sehti Rahi Hai
Yateemi Kay Tahnay Yeh Sehti Rahi Hai
Nahi Maar Zaalim Tamanchay Isay
Na Kar Is Ka Dushwar Jeena
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Safar Mein Yeh Soi Na Zindaan Aa Kar
Ujala Kiya Hai Yahan Dill Jala Kar
Padar Say Jo Bichri Hai Aashoor Ko
Sukoon Paa Saki Phir Kabhi Na
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Mila Dasht Mein Jab Keh Baba Ka Lasha
Lipat Kar Padar Say Kiya Khoob Giriya
Wahan Pahunchi Zainab To Sheh Nay Kaha
Sula Do Isay Jaa Ky Behna
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Rasan Day Gai Hai Nishani Galay Par
Hai Paishani Zakhmi Jo Khaye Thay Pathar
Nishan Hain Tamanchon Ky Rukhsar Par
Masayeb Say Zakhmi Hai Seena
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Kabhi Apnay Baba Ky Qaatil Say Dar Kar
Kabhi Roi Zindaan Mein Tanhaiyon Par
Kabhi Boli Zainab Say Ab Ghar Chalo
Hua Ek Baras Ek Mahina
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Ho Maqtal Ky Bazar Ya Qaid Khana
Sada Day Ky Baba Say Kehti Thi Dukhiya
Yateemi Mili To Milay Aisay Gham
Kahin Chain Say Jee Saki Nah
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Qayamat Ki Ek Raat Aisi Bhi Aai
Qaza Nay Sakina Ko Lori Sunai
Kaha Ro Ky Sajjad Nay Ay Phuphi
Keh Ab Roye Gi Phir Kabhi Na
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Jo Qabr E Sakina Pay Rotay Thay Qaidi
To Un Ronay Walon Say Bano Yeh Kehti
Abhi Thak Ky Soi Hai Zindaan Mein
Jagana Isay Ab Koi Na
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Yeh Kehta Hai Farhan Sey Ro Kay Mazhar
Jo Qabr E Sakina Py Jana Baradar
Wahan Marsiya Jaa Ky Parhna Yehi
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Bohot Ro Chuki Hai Sakina
Haye Haye Haye Haye Haye Haye