Reciter: Irfan Haider
Labbaika Ya Abbas
Han
Sakhi Badshah Abbas
Jiye Alman Wala Mera Murshid Ghazi
Hijab E Zainab E Kubra Salam Salam Ya Ghazi
Hijab E Zainab E Kubra Salam Salam Salam Ya Ghazi
Babul Hawayej Meray Ghazi Ho Ja Razi
Sun Lay Meri Iltija
Har Matami Halqa E Matam Mein
Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Har Matami Halqa E Matam Mein
Yeh Soch Ky Khoon Bahata Hai
Bas Ghazi Ho Jaye Razi
Mera Ghazi Ho Jaye Razi
Bas Ghazi Ho Jaye Razi
Mera Ghazi Ho Jaye Razi
Yeh Dar Hai Sakhi Abbas Ka Dar
Yahan Deep Wafa Kay Jaltay Hain
Sar Apna Jhuka Lay Gham Na Kar
Yahan Girtay Log Sambhaltay Hain
Yeh Wird Saja Lay Honton Par
Duniya Say Kiun Ghabrata Hai
Bus Ghazi Ho Jaye Razi
Mera Ghazi Ho Jaye Razi
Jo Teray Alam Par Aye Ga
Woh Dill Ki Muraden Paye Ga
Tu Jis Pay Karam Kar Day Ghazi
Woh Tujh Mein Fana Ho Jaye Ga
Kashkol Teray Deewaon Ka
Yeh Kehtay Hi Bhar Jata Hai
Bus Ghazi Ho Jaye Razi
Mera Ghazi Ho Jaye Razi
Saqqa E Sakina Jan E Ali
Ek Mashk Teray Parcham Say Bandhi
Kehti Hai Azadaron Say Yehi
Is Bat Pay Shak Karna Na Kabhi
Milta Hai Sakina Ka Sadqa
Us Ko Jo Yeh Dohrata Hai
Bus Ghazi Ho Jaye Razi
Mera Ghazi Ho Jaye Razi
Abbas Bulatay Hain Jis Ko
Bas Karbobala Woh Jata Hai
Har Aik Shaheed E Karbobala
Khud Us Ky Galay Lag Jata Hai
Shabbir Ki Qabr Pay Ja Kar Jo
Yeh Keh Ky Phool Charhata Hai
Bus Ghazi Ho Jaye Razi
Mera Ghazi Ho Jaye Razi
Jab Aath Muharram Ati Hai
Ek Bibi Yeh Farmati Hai
Abbas Meray Bhai Mujh Ko
Teri Yaad Bahut Tarhpati Hai
Uthta Hai Alam Jab Ghazi Ka
Bey Sakhta Lab Par Ata Hai
Bus Ghazi Ho Jaye Razi
Mera Ghazi Ho Jaye Razi
Hurr Jaon O Habib Aur Kya Muslim
Kya Aon O Muhammad Jaisay Pisar
Tu Dasween Muharram Ghaor To Kar
Kya Qasim O Akbar Kya Asghar
Har Larhnay Wala Maqtal Mein
Yeh Keh Ky Taigh Chalata Hai
Bus Ghazi Ho Jaye Razi
Mera Ghazi Ho Jaye Razi
Irfan E Aza Aur Akhtar Tum
Bas Nad E Ali Ka Wird Karo
Tum Ashiq E Maula Ghazi Ho
Yeh Saray Zamanay Say Keh Do
Hum Rah E Wafa Kay Pyason Ki
Yeh Jumla Pyas Bhujata Hai
Bus Ghazi Ho Jaye Razi