Reciter: Mir Hasan Mir
Haye Zainab Haye Haye Bazaar
Haye Zainab Haye Haye Bazaar
Chadar Na Kafan Hai Door Watan
Chadar Na Kafan Hai Door Watan
Bay Parda Behan Haathon Mein Rasan
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Rasta Bana Rahi Hain
Bint E Ali Ka Fizza
Kaantay Hataa Hataa Kay
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Pardes Mein Kisi Par
Aisa Na Waqt Aye
Naa Mehramon Mein Koi
Yun Bay Rida Na Jaye
Kartay Hain Yeh Duaen
Ahl E Haram K Bachay
Jhooli Utha Utha K
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Haye Bhai Behan Ki Aankhen
Numm Hoti Ja Rahi Hain
Bint E Ali Ki Saansen
Kamm Hoti Ja Rahi Hain
Khanjar Chala Raha Hai
Zainab K Dil Py Zaalim
Khanjar Dikha Dikha K
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Haye Ik Bachi Keh Rahi Hai
Aao Madad Ko Baba
Daadi Ki Tarha Main Bhi
Ab Ho Gai Zaeefa
Haye Zakhmi Kiya Hai Pehloo
Naaqay Sy Zaalimon Nay
Mujh Ko Gira Gira Kay
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Parday Mein Bhi Jo Bibi
Chalti Na Thi Zyada
Pardes Mein Ab Un Par
Aya Hai Waqt Kaisa
Laye Hain Shaam Waly
Un Shah Zadion Ko
Paidal Chala Chala K
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Wo Shamion K Tahnay
Wo Muskuraty Chehray
Bay Parda Sath Apnay
Bint E Ali Ko Lay Kay
Haye Sajjad Kaisay Bhoolen
Us Bheerh Sy Guzarna
Nazren Jhuka Jhuka K
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Jaatay Hain Jis Taraf Bhi
Ahl E Haram Khulay Sar
Khaati Hai Pehlay Durra
Khaati Hai Pehlay Pathar
Haye Apny Lahoo Mein Tarr Hai
Zahra Ki Betion Ko
Fizza Bacha Bacha K
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Aakhmon Ki Woh Takallum
Aadad Jaantay Hain
Mehdi Ko Bhi Khabar Hai
Sajjad Jantay Hain
Haye Maaray Hain Kis Ny Kitnay
Haider Ki Laadli Ko
Pathar Utha Utha K
Abbas Ki Behan Ko
Shami Rula Rahy Hain
Chadar Dikha Dikha Dikha
Chadar Na Kafan Hai Door Watan
Bay Parda Behan Hathon Mein Rasan