Reciter: Mesum Abbas
Abbas Abbas
Jab Mashk e Sakina Pe Laga Teer Sitam Ka
Abbas Abbas
Bikhre Huwe Lasho’n Ne Kaha Haaye Hussaina
Abbas Abbas
Be Dast Alamdar Ko Be Deeno Ne Mara
Ghorey Se Gira Khak Pe Saqa e Sakina
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Saqa e Haram Syed o Salaar Alamdar
Jane Se Tere Sheh Ki Qmr Toot Gai Hai
Abbas Tera Rasta Bahen Daikh Rahi Hai
Shabbir Huwe Jeene Se Baizaar Alamdar
Pohnchi Ye Khbr Khema e Shabbir Main Jis Dum
Shabbir Qamr Tham Ke Karne Lage Matam
Yeh Bain Kiye Aye Mere Ghumkhar Alamdar
Hathon Main Liye Koozay Tarapte Rahai Piyase
Aur Piyaso’n Ke Halqe Main Sakine Ke Thay Naale
Piyaso’n Pe Fida Hogaya Ghamkhar Alamdar
Saadat Ko Jab Lootne Ayain Gai Sitamgar
Phir Kon Bachaye Ga Teri Behna Ki Chadar
Aja Meri Chadar Ke Nigehdaar Alamdar
Bain Sakina Ne Kiya
Haye Alamdar e Hussain
Nahar Se Ajao Chacha
Haye Alamdar e Hussain
Karti Hun Main Yeh Ilteja
Haye Alamdar e Hussain
Mujhe Na Tarpao Chacha
Haye Alamdar e Hussain
Haye Alamdar e Hussain
Bazuye Saqae Haram
Haye Alamdar e Hussain
Jab Huwe Darya Pe Qadm
Haye Alamdar e Hussain
Rone Lage Shah e Ummam
Haye Alamdar e Hussain
Is Se Bara Nahi Sitam
Haye Alamdar e Hussain
Abbas Ke Nazdeek Nazdeek Shah e Wala
Sar Bhai Ka Yeh Kehte Huwe Goud Main Rakha
Tum To Meri Fouj Ke Saalaar Alamdar
Aye Dharas e Shabbir Zara Ankhain TO Kholo
Hasrat Hai Ke Ek Baar Mujhe Bhai To Bolo
Kiya Yaad Hai Bachpan Ka Tumhe Pyaar Alamdar
Qasim Bhi Gaye Aun o Muhammad Bhi Sudhare
Akbar Bhi Chale Jayain Gai Ab Bhi Tumhare
Koi Na Raha Saaya e Deewar Alamdar
Daiti Thi Yahi Zainab e Dilgeer Duhai
Main Tere Sahare Pe Watan Chor Ke Aai
Kyun Chor Ke Jate Ho Wafadar Alamdar
Ghazi Ki Shahadat Pe Qayamat Ka Tha Manzar
Kar Sakta Nahi Koi Baayaa’n Mesum o Mazhar
Alfaaz Ka Lashkar Hai Qalamkaar Alamdar