Reciter: Farhan Ali Waris

Haye Sham E Ghareeban

Ghareebon Ki Sham
Aseeron Ki Sham
Pyason Ki Sham
Sham E Ghareeban

Jal Chukay Sadaat Kay Khaimay
Dhuwan Uth Raha Hai

Jal Chukay Sadat Kay Khaimay
Dhuwan Uth Raha Hai

Ujrhay Gharon Ki Sham Hai
Tishna Labon Ki Sham Hai
Tootay Dilon Ki Sham Hai
Bujh Gaye Jitnay Diye Thay

Dhuwan Uth Raha Hai

Kuch Dair Pehlay Lootnay
Zaalim Yahan Par Aye Thay
Sab Ki Ridayen Lay Gaye
Reh Gaye Bas Jaltay Khaimay

Dhuwan Uth Raha Hai

Masnad Jali Jhoola Jala
Bistar Bhi Abid Ka Jala
Khaimon Mein Aur Kya Kya Jala
Aaj Phir Zehra Kay Ghar Say

Dhuwan Uth Raha Hai

Lai Bacha Kar Tishna Gaam
Shoalon Ki Zadd Par Thay Imam
Zainab Ki Himmat Ko Salam
Bistar E Zain Ul Ibaa Say

Dhuwan Uth Raha Hai

Parda Nasheen Hain Khak Basar
Chotay Barhay Sab Noha Gar
Chup Hai Sakina Kiun Magar
Is Yateema Kay Hi Dill Say

Dhuwan Uth Raha Hai

Har Soo Udasi Chaa Gai
Aal E Nabi Ghabra Gai
Pehray Pay Zainab Aa Gai
Daikh Lo Abbas Aa Kay

Dhuwan Uth Raha Hai

Hathon Mein Ley Kar Haziri
Jab Hurr Ki Zoja Aai Thi
Sar Peet Kar Kehnay Lagi
Ho Gai Takheer Mujh Say

Dhuwan Uth Raha Hai

Baba Say Zainab Nay Kaha
Ab Aaye Ho Mushkil Kusha
Jab Mera Sab Kuch Lutt Gaya
Daikh Lo Khaimon Say Meray

Dhuwan Uth Raha Hai

Farhan O Mazhar Abidi
Dasween Ki Shab Dhalti Rahi
Aal E Nabi Roti Rahi
Marsiya Zainab Ka Sun Kay

Dhuwan Uth Raha Hai

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply