Reciter: Farhan Ali Waris

Hussain Hussain Hussain Hussain

Mola Hussain Ibn E Ali

Mera Maula Mera Murshad Mera Aaqa Hai Hussain

Shaban Mein Yeh Khishiyon Ki Barat Chali Hai
Seenay Mein Hai Dill Dill Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Zehra Ky Gharanay Ki Khushi Sab Ko Mubarak
Yeh Eid Jo Hai Sab Say Barhi Sab Ko Mubarak
Allah O Nabi Aur Wali Sab Ko Mubarak
Mairaj E Rasool E Arabi Sab Ko Mubarak
Han Teesri Shaban Bhi Mairaj E Nabi Hai

Seenay Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Shaban Mein Yeh Khushiyon Ki Barat Chali Hai

Shaban Ki Toqeer Hussian Ibn E Ali Hai
Toheed Ki Tabeer Hussain Ibne Ali Hai
Islam Ki Tameer Hussain Ibne Ali Hai
Ay Hurr Teri Taqdeer Hussain Ibn E Ali Hai
Quran Jo Parhta Hai Woh Tasbeeh Hi Yehi Hai

Seenay Mein Hai Dill Dill Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Shaban Mein Yeh Khushiyon Ki Barat Chali Hai
Seenay Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibne Ali Hai

Soorat Mein Shabahat Mein Ali Hai Yeh Gul E Tarr
Seerat Ko Agar Daikho Lagay Ga Yeh Payambar
Kya Nam O Nasab Mein Hai Koi Is Kay Barabar
Dharti Py Utar Aya Hai Allah Ka Mazhar
Toheed Ky Mathay Pay Ibarat Yeh Likhi Hai

Seenay Mein Hai Dill Dill Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Shaban Mein Yeh Khushiyon Ki Barat Chali Hai
Seenay Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibne Ali Hai

Paiman E Wafa Laya Hai Rehman Say Poocho
Kya Is Ki Fazeelat Hai Yeh Shaban Say Poocho
Maalik Hai Shifaat Ka Yeh Quran Say Poocho
Bas Hum Hi Nahi Surah E Furqan Say Poocho
Yun Surah E Furqan Ki Tafseer Hui Hai

Seenay Mein Hai Dill Dill Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Shaban Mein Yeh Khushiyon Ki Barat Chali Hai
Seenay Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibne Ali Hai

Shaban Mein Is Ghar Mein Charagh Aur Jalen Gay
Kuch Noor Hain Jo Jism Ky Saanchay Mein Dhalen Gay
Hamrah Yehi Noor Shah E Deen Ky Chalen Gay
Jitnay Bhi Charagh Ayen Gay Yeh Kehtay Milen Gay
Is Baat Say Shaban Ki Toqeer Barhi Hai

Seenay Mein Hai Dill Dill Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Shaban Mein Yeh Khushiyon Ki Barat Chali Hai
Seenay Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibne Ali Hai

Shaban Ki Pehli Ko Miliin Sani E Zehra
Phir Teesri Ko Natiq E Quran Bhi Utra
Chothi Ko Hua Jalwa Numa Shair Khuda Ka
Aur Saatween Shaban Ko Shahzada Hasan Ka
Giraha Ko Wohi Aya Jo Ham Shakl E Nabi Hai

Seenay Mein Hai Dill Dill Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Shaban Mein Yeh Khushiyon Ki Barat Chali Hai
Seenay Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibne Ali Hai

Shaban Ki Pandrah Ko Zahoor Us Ka Hua Hai
Jo Aaj Talak Parda E Ghaibat Mein Chupa Hai
Naam Us Ka Nahi Jantay Bas Itna Pata Hai
Is Daor Ky Fitnon Kay Liye Qehr E Khuda Hai
Us Hujjat E Akhir Nay Bhi Yeh Bat Kahi Hai

Seenay Mein Hai Dill Dill Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Shaban Mein Yeh Khushiyon Ki Barat Chali Hai
Seenay Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibne Ali Hai

Hindu Ho Ya Eesai Ho Sikh Ho Ya Musalman
Mazloom Ky Hami Hain To Zaalim Say Hain Naalaan
Masjid Ho Ya Mandir Ho Ya Girja Ho Ya Maidan
Gham Ho Ga Muharram Mein To Shaban Mein Charaghan
Shabbir Kay Dushman Ko Yehi Bat Khali Hai

Seenay Mein Hai Dill Dill Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Shaban Mein Yeh Khushiyon Ki Barat Chali Hai
Seenay Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibne Ali Hai

Haq Bat Zara Mazhar O Farhan Suna Do
Mumkin Ho Jahan Tak Tumhen Asan Sana Do
Kis Aoj Pay Hai Manzil E Shaban Suna Do
Quran Ki Baten Hain To Quran Suna Do
Zehra Kay Gharanay Ki Faqat Eid Yehi Hai

Seenay Mein Hai Dill Dill Mein Hussain Ibn E Ali Hai

Shaban Mein Yeh Khushiyon Ki Barat Chali Hai
Seenay Mein Hai Dil Dil Mein Hussain Ibne Ali Hai

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply