Reciter: Irfan Haider
Ya Raziya Ya Marziya Khairun Nisa Ya Umme Abeeha
Sar Apna Dar E Fatima Zehra Py Jhuka Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Is Wird Sy Khulty Hain Ataaon Ky Dareechay
Mil Jaye Ga Hasnain Ka Sadqa Bhi Yahiin Say
Mayoos Na Hon Warna Muqaddar Sy Gila Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Sar Apna Dar E Fatima Zehra Py Jhuka Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Aa Kar Yahan Jibreel Bhi Karta Hai Yehi Baat
In Ki Hi Ijazat Sy Badalty Hain Dilo Raat
Aangan Mein Sitaron Ny Bataya Hai Yeh Aa Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Sar Apna Dar E Fatima Zehra Py Jhuka Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Is Wird Ko Tasbeeh Samajhty Hain Abuzar
Miqdad Ho Salman Ho Tammar Ya Qambar
Paigham Sunaty Hain Zamanay Ko Bula Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Sar Apna Dar E Fatima Zehra Py Jhuka Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Rehta Hai Hama Waqt Farishton Ka Wazeefa
Khushnoodi E Mabood Ka Bas Hai Yeh Tareeqa
Quran Ky Alfaaz Bataty Hain Suna Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Sar Apna Dar E Fatima Zehra Py Jhuka Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
In Lafzon Sy Behlol Ny Paye Hain Khazanay
Is Ghar Ky Barhy Naaz Uthaye Hain Utha Nay
Behlool Ki Tarha Isi Dehleez Py Aa Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Sar Apna Dar E Fatima Zehra Py Jhuka Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Yeh Naam Wazeefa Hai Waseela Hai Ata Hai
Yeh Naam To Insan Ky Har Gham Ki Dawa Hai
Is Naam Ki Hurmat Ko Zara Dil Mein Basa Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Sar Apna Dar E Fatima Zehra Py Jhuka Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Han Mazhar O Irfan Ka Emaan Yehi Hai
Is Aalam E Islam Sy Ailaan Yehi Hai
Tanhai Mein Jab Apny Gunahon Ko Gina Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Sar Apna Dar E Fatima Zehra Py Jhuka Kar
Jo Mangna Hai Mang Jo Karni Hai Dua Kar
Ya Raziya Ya Marziya Khairun Nisa Ya Umme Abeeha