Reciter: Farhan Ali Waris
Hai Bab E Hawayej Maula Hai Bab E Hawayej Maula
Saqa E Sakina Maula Hai Bab E Hawayej Maula
Dua To Mang Sakina Ka Wasta Day Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ataa Na Karay
Alam Pay Ja Ky Sakina Ka Wasta Dena
Pharaira Tham Kay Gham Apnay Sab Suna Dena
Jalana Nam E Sakina Ka Ek Diya Jaa Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ataa Na Karay
Dua To Mang Sakina Ka Wasta Day Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Alam Pay Jao To Bachon Ko Sath Ley Jao
Wahan Sakina Ka Pursa Do Phir Dua Mango
Tumharay Haq Mein Sakina Jo Khud Dua Kar Day
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Dua To Mang Sakina Ka Wasta Day Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Rida E Zainab E Muztar Ka Wasta Dena
Ghareeb E Zehra Ka Sharbat Pay Fatiha Daina
Duayen Mangna Hathon Mein Baliyan Rakh Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Ay Bab E Hawayej Maula Ay Bab E Hawayej Maula
Saqa E Sakina Maula Ay Bab E Hawayen Maula
Dua To Mang Sakina Ka Wasta Day Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Ataa Karay Jo Khuda Mujh Ko Aik Ghar Apna
Rakhun Ga Ghar Mein Sakina Kay Naam Ka Hujra
Alam Ko Tham Keh Mannat Yeh Man Ley Ro Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Dua To Mang Sakina Ka Wasta Day Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Jo Tu Nay Mang Li Aulad Aur Yeh Socha
Isay Sakina Ka Saqqa Main Khud Banaun Ga
Niyat Yeh Kar Li Jo Tu Nay Duaon Say Pehley
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Dua To Mang Sakina Ka Wasta Day Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Baland Bas Yeh Aqeeda Hai Mazhar O Farhan
Hussainiyon Ki To Rahat Ka Hai Yehi Samaan
Jo Panjatan Kay Bhi Qaari Bano Saleeqay Say
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Dua To Mang Sakina Ka Wasta Day Kay
Yeh Kaisay Ho Ga Keh Abbas Aur Ata Na Karay
Ay Bab E Hawayej Maula Ay Bab E Hawayej Maula
Saqqa e Sakina Maula Ay Bab e Hawayej Maula