Reciter: Nadeem Sarwar

Kiya Veeran
Tumharay Baad Hui Teen Eiden Baba Jan
Shab E Barat Hui Doosray Mahinay Ayaan
Ba Rooh E Hamza Na Thi Mujh Mein Fatiha Ki Tawaa
Tamam Roz Tarhapty Tarhapty Rat Hui
Hamaray Ghar Mein Na Eid E Shab E Barat Hui

Hamaray Ghar Mein Na Eid E Shab E Barat Hui

Eid To Gai Din Eid E Fitr Ka Aya
Gharanay Kar Meri Ham Joliyon Nay Rulwaya
Kisi Nay Gehna Kisi Nay Libas Dikhlaya
Koi Yeh Boli Keh Eidi Mein Hum Nay Yeh Paya
Har Aik Khush Tha Magar Meray Lab Pay Nalay Thay
Safar Mein Sab Meray Eidi Ky Denay Walay Thay

Safar Mein Sab Meray Eidi Ky Denay Walay Thay

Woh Khush Ho Eid Mein Kya Khalq Ka Jo Mara Ho
Qasam Lubaba Jo Kurta Phata Utara Ho
Agarchay Ana Watan Mein Jo Phir Tumhara Ho
Dobara Eid Ho Noroz Bhi Dobara Ho
Hamari Eid To Kunbay Ki Deed Haye Baba
Jab Aap Ayen Usi Roz Eid Hai Baba

Jab Aap Ayen Usi Roz Eid Hai Baba

Nazar Mein Phirta Hai Eid E Guzishta Ka Ana
Woh Eid Gah Mein Akbar Ka Dhoom Say Jana
Behan Kay Wastay Mewey Khareed Kar Lana
Woh Amman Bano Ka Har Dam Galay Say Liptana
Bajuz E Ab To Baghal Geer Jis Say Hoti Hun
Bahan Sakina Ko Main Yad Kar Ky Roti Hun

Bahan Sakina Ko Main Yad Kar Ky Roti Hun

Suna Hai Jab Say Watan Aatay Hain Shah E Akram
Khushi Say Fatima Sughra Ka Hai Ajab Aalam
Kabhi To Jhukti Thi Sajday Mein Woh Bureeda E Nam
Kabhi Yeh Kehti Thi Kiun Nani Jee Gaye Hain Hum
Watan Mein Aaj Shah E Mashraqain Atay Hain
Galay Lago Meray Baba Hussain Atay Hain

Galay Lago Meray Baba Hussain Atay Hain

Kalaija Peet Ky Sughra Nay Tab Kiya Yeh Kalam
Khafa Hun Main To Bhala In Say Ab Mujhay Kya Kam
Tarhap Ky Yeh Chay Mahinay Kiye Hain Mainay Tamam
Khabar Na Li Meri Hai Aa Nahi Gilay Ka Maqam
Galay Lagayen Gay Bhaiya To Munh Na Kholun Gi
Woh Pehlay Ayen Keh Bad Ayen Main Na Bolun Gi

Woh Pehlay Ayen Keh Bad Ayen Main Na Bolun Gi

Hua Yeh Suntay Hi Ummul Baneen Ky Dill Pay Ta’aab
Utha Ky Hath Kaha Khair Kijiyo Ya Rab
Waheen Yeh Keh Ky Jo Woh Zoja E Ameer E Arab
Nazar Parha Usay Ghorha Pisar Ka Haye Ghazab
Hujoom E Khalq Say Pas Us Ky Ja Na Sakti Thi
Bandha Tha Zeen Say Alam Mashk Ek Latalti Thi

Bandha Tha Zeen Say Alam Mashk Ek Latakti Thi

Yeh Noha Parhta Ghorhay Ky Agay Agay Basheer
Madina Lut Gaya Jangal Mein Mar Gaye Shabbir
Galay Pay Dilbar E Zehra Kay Chal Gai Shamsheer
Kiya Shaheed Ghareeb Ul Watan Ko Bey Tafseer
Yeh Zuljanah Shehanshah E Khushk Sali Ka Hai
Yeh Kash Zeen Pay Lahoo Fatima Ky Lal Ka Hai

Yeh Kash Zeen Pay Lahoo Fatima Ky Lal Ka Hai

Suni Jo Sughra Nay Matam Ky Shor Mein Yeh Sada
Pacharhay Khanay Lagi Khak Par Woh Mah E Laqa
Hua Yeh Shor Keh Haye Haye Shaheed E Taigh E Jafa
Tarhap Tarhap Ky Pukari Yeh Fatima Sughra
Dikhai Deta Hai Sab Ghar Luta Hua Logo
Padar Mera Tum Mein Say Kya Hua Logo

Padar Mera Tum Mein Say Kya Hua Logo

Nishan E Haider E Karrar Kiun Nahi Aya
Imam E Bay Kas O Bey Yaar Kiun Nahi Aaya
Hamara Malik E Mukhtar Kiun Nahi Aaya
Tumhara Qafila Salar Kiun Nahi Aaya
Batao Chaoni Kis Ban Mein Chai Baba Nay
Batao Kon Si Basti Basai Baba Nay

Batao Kon Si Basti Basai Baba Nay

Kahan Hain Sahib O Bhaiya Meray Ali Akbar
Kahan Hai Chota Musafir Mera Ali Asghar
Kahan Hain Aon O Muhammad Phuphi Kay Lakht E Jigar
Batao Qasim O Abbas Namwar Hain Kidhar
Qareeb E Marg Hun Gham Say Main Khasta Taa Logo
Kahan Hai Bali Sakina Meri Bahan Logo

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply