Reciter: Nadeem Sarwar
Matam Hai Bapa Ahl E Aza
Majlis E Gham Mein Karen Aaiye Mil Kar Yeh Dua
Majlis E Gham Mein Karen Aaiye Mil Kar Yeh Dua
Bhai Zinda Rahen Behnon Ky Bahaq E Zehra
Ta Qayamat Rahay Maan Behnon Ka Qayem Parda
Shanay Us Bhai Kay Allah Salamat Rakhay
Jo Banaye Gaye Behnon Ki Hifazat Kay Liye
Shabbir Dua Kartay Thay Ro Kar Tah E Khanjar
Sar Mera Katay Gham Nahi Lutt Jaye Bhara Ghar
Reh Jaye Meri Zainab E Dilgeer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Sab Qatal Hon Asbaab Bhi Lutt Jaye Hamara
Asghar Ky Lagay Teer Mujhay Yeh Bhi Gawara
Reh Jaye Meri Zainab E Dilgeer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Is Parday Ki Khatir Mera Abbas Bhi Mar Jaye
Akbar Ky Sinaan Seenay Py Lagti Hai To Lag Jaye
Reh Jaye Meri Zainab E Dilgeer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Tukrhay Ho Meray Qasim E Noshah Ka Lasha
Jal Jaye Meray Asghar E Masoom Ka Jhoola
Reh Jaye Meri Zainab E Dilgeer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Masoom Sakina Mujhay Roti Hai To Roye
Woh Meray Bina So Nahi Sakti Hai Na Soye
Reh Jaye Meri Zainab E Dilgeer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Sughra Meri Ro Ro Ky Guzar Jaye Watan Mein
Kitnay Hi Lagen Teer O Tabar Meray Badan Mein
Reh Jaye Meri Zainab E Dilgeer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Barbad E Shah E Deen Yeh Ajab Saniha Guzra
Khaimon Ki Taraf Sheh Ky Barha Lashkar E Ahdaa
Baqi Na Raha Zainab E Dilgeer Ka Aprda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Akbar Ko Pukara Kabhi Sarwar Ko Pukara
Kehti Thi Madad Kijiye Baba Meray Baba
Baqi Na Raha Shah Ki Hamsheer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Is Parday Ki Khatir Meray Bhaiya Gaye Maray
Abbas Kay Shanay Bhi Katay Nehr Kanaray
Baqi Na Raha Shah Ki Hamsheer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda
Rehan Ajab Waqt Tha Aafat Ki Gharhi Thi
Islam Ki Bey Gor O Kafan Lash Parhi Thi
Kaam Aa Gaya Yun Zainab E Dilgeer Ka Parda
Hamsheer Ka Parda Meri Dilgeer Ka Parda