Reciter: Ahmed Raza Nasiri
Haye Qasim Haye Qasim
Haye Qasim Haye Haye Qasim
Qadam Qadam Pay Jo Khud Ko Gira Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain Hussain
Ghaeeb Kehtay Hain Kis Ko Bata Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain Hussain
Qadam Qadam Pay Jo Khud Ko Gira Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain Hussain
Khudaya Daikay Na Farwa Sitam Ka Yeh Manzar
Hazaar Tukrhon Mein Bikhra Hai Gul Badan Keh Kar
Abaa Ko Apni Zameen Par Bicha Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Qadam Qadam Pay Jo Khud Ko Gira Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Main Tujh Ko Dhundnay Jaun Kahan Bata Qasim
Kahan Kahan Say Uthaun Badan Tera Qasim
Har Ek Qadam Pay Nazar Ko Jhuka Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Qadam Qadam Pay Jo Khud Ko Gira Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Jo Sar Ko Peet Kay Maqtal Mein Rota Hai Sarwar
Har Aik Lash Uthai Hai Us Nay Kaandhon Par
Na Janay Kaisay Yeh Lasha Utha Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Qadam Qadam Pay Jo Khud Ko Gira Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Sitam Hai Aisa Kaha Sheh Nay Mar Main Jaun Ga
Har Aik Tukrhay Pay Teray Pahuncha Na Paun Ga
Sadaye Dey Kay Badan Ko Bula Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Qadam Qadam Pay Jo Khud Ko Gira Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Adaa Har Aik Qasim Ki Khud Hasan Ki Tarah
Badan Bhi Para Hai Us Ka Pairahan Ki Tarah
Tabhi To Farwa Say Lasha Chupa Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Qadam Qadam Pay Jo Khud Ko Gira Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Ay Shams Shah Jo Khaimon Ki Simt Aata Hai
To Pusht E Shah Say Qasim Ka Khoon Tapakta Hai
Nishani Bhai Ki Khaimon Mein La Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain
Qadam Qadam Pay Jo Khud Ko Gira Rahay Hain Hussain
Hassan Ke Laal Ka Lasha Utha Rahay Hain