Reciter: Farhan Ali Waris
Meri Mazloom Behna Sakina
Meri Masoom Behna Sakina
Bolay Sajjad Lasha Utha Kar
Sakina Sakina
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Kya Karun Qaid Khana Hai Yeh Ghar Nahi
Ghushl Denay Ko Pani Muyassar Nahi
Aur Dafnaun Kaisay Keh Chadar Nahi
Bey Kasi Aur Ghurbat Mein Ay Ghamzada
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Jab Tu Roi Tamanchon Ki Pai Saza
Balian Chin Gaiin Aur Daman Jala
Aur Kanon Ky Khoon Say Hai Kurta Bhara
Haye Tujh Ko Kafan Bhi Nahi Mil Saka
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Tu Andhairon Say Dharti Rahi Meri Jaan
Baap Ky Gham Mein Roti Rahi Meri Jaan
Ghar Chalo Maan Say Kehti Rahi Meri Jaan
Tera Armaan Poora Nahi Ho Saka
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Aisi Bichrhi Keh Phir Baap Say Na Mili
Chut Ky Baba Say Zindaan Ki Qaidi Bani
Haye Yeh Baat Sajjad Ko Kha Gai
Haye Teeron Say Un Ka Kafan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Tujh Ko Zindaan Mein Baba Ka Sar Jo Mila
Tu Nay Baba Kay Munh Par Jo Munh Ko Rakha
Itna Roi Keh Zindaan Laraznay Laga
Rotay Rotay Hi Aai Hai Tujh Ko Qaza
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Kam Sini Mein Sitam Tu Nay Kitnay Sahay
Char Saala Yateema Main Sehtay Teray
Baad E Ashur Soi Nahi Chain Say
Chain Mar Ky Bhi Tujh Ko Nahi Mil Saka
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Haye Farhan O Mazhar Ajab Waqt Tha
Us Yateema Ka Jis Dam Janaza Utha
Bibiyon Mein Bapa Aik Kohram Tha
Sab Nay Qabr E Sakina Pay Noha Kiya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Haye Zindan Tera Watan Ban Gaya
Khoon Bhara Tera Kurta Kafan Ban Gaya
Sakina Sakina