Reciter: Nadeem Sarwar
Nehr Par Woh Jari Jis Ky Bazu Katay
Hath Rassi Mein Bandhay Gaye Aik Kay
Hal Kaisay Sakina Ka Likhun
Jis Say Choota Hai Baba Ka Seena
Haye Abbas Zainab Sakina
Aik Bachi Jo Baba Ki Thi Ladli
Teen Din Dasht E Ghurbat Mein Pyasi Rahi
Baliyan Us Ki Cheeni Laeen Nay
Dill Mein Zalim Ky Tha Kitna Keena
Haye Abbas Zainab Sakina
Ek Bahan Jis Ky Betay Fida Ho Gaye
Dil Ky Tukrhay Thay Lekin Juda Ho Gaye
Jan Mamu Py Thi Sab Say Pehlay
Surkh Roo Yun Hui Aik Behna
Haye Abbas Zainab Sakina
Woh Jo Saqqa E Ahl E Haram Tha Suno
Jis Ky Kaandhon Py Deen Ka Alam Tha Suno
Jis Ko Pyasi Sakina Ka Gham Tha
Jis Nay Ahdaa Say Dariya Ko Cheena
Haye Abbas Zainab Sakina
Sani E Zehra Jis Ka Laqab Tha Wohi
Bhai Jis Ka Tha Abbas Jaisa Wohi
Baap Jis Ka Shah E La Fatah Tha
Aai Bazar Mein Sar Barehna
Haye Abbas Zainab Sakina
Jis Ky Kaanon Say Cheeni Gaiin Baliyan
Jis Nay Khaye Tamanchay Sahiin Ghurhkiyan
Us Ky Gham Ka Bayan Kis Tarah Ho
Gham Say Phat Jaye Ga Mera Seena
Haye Abbas Zainab Sakina
Jis Ky Marnay Say Sheh Ki Kamar Jhuk Gai
Jab Suna Us Jari Ko Qaza Aa Gai
Aas Pani Ki Bachon Nay Chorhi
Ghash Hui Haye Bali Sakina
Haye Abbas Zainab Sakina
Rok Apna Qalam Ay Rehan Azmi
Dil Tarhapnay Laga Ankh Ronay Lagi
Teray Nohay Say Ahl E Aza Ka
Ho Gaya Gham Say Labraiz Seena
Haye Abbas Zainab Sakina