Reciter: Ahmed Raza Nasiri
Alamdar Alamdar
Shah Nay Ro Kar Kaha Haye Alamdar E Man
Saqi E Karbobala Haye Alamdar E Man
Zulm Yeh Kaisa Hua Haye Alamdar E Man
Koi Na Baqi Raha Ahye Alamdar E Man
Shah Nay Ro Kar Kaha Haye Alamdar E Man
Haye Abbas Alamdar
Khak Hui Hasraten Uthta Hai Dill Say Dhuwan
Kaisay Uthaun Ga Main Lasha E Akbar Jawan
Deta Hun Tum Ko Sada Haye Alamdar E Man
Rann Mein Hun Tanha Kharha Haye Alamdar E Man
Dill Pay Hai Sadma Barha Haye Alamdar E Man
Shah Nay Ro Kar Kaha Haye Alamdar E Man
Aon O Muhammad Nahi Qasim O Akbar Nahi
Jata Hun Ran Kay Liye Koi Bhi Yawar Nahi
Nehr Say Aao Zara Haye Alamdar E Man
Lutt Gaya Sab Ghar Mera Haye Alamdar E Man
Aur Hai Mukhalif Hawa Haye Alamdar E Man
Shah Nay Ro Kar Kaha Haye Alamdar E Man
Pyas Say Tha Jaan Balab Asghar E Masoom Jo
Hurmala Kay Teer Say Ho Gaya Bey Jaan Woh
Chid Gaya Nanha Gala Haye Alamdar E Man
Hill Gai Karbobala Haye Alamdar E Man
Ho Kahan Tum Bawafa Haye Alamdar E Man
Shah Nay Ro Kar Kaha Haye Alamdar E Man
Qatl Huye Sab Meray Moonis O Ansaar Bhi
Ahl E Haram Ka Nahi Koi Madadgar Bhi
Ghash Mein Hai Abid Mera Haye Alamdar E Man
Koi Nahi Aasra Haye Alamdar E Man
Ho Gaye Tum Bhi Juda Haye Alamdar E Man
Shah Nay Ro Kar Kaha Haye Alamdar E Man
Kaisay Bataun Tujhay Dukhtay Hain Qalb O Jigar
Jab Teray Bazu Katay Jhuk Gai Meri Kamar
Mashk Say Pani Baha Haye Alamdar E Man
Teer Jo Aa Kar Laga Haye Alamdar E Man
Hasraton Ka Khoon Hua Haye Alamdar E Man
Shah Nay Ro Kar Kaha Haye Alamdar E Man
Haye Bhateeja Mera Qasim E Ibne Hasan
Lash Kay Tukrhay Huye Ho Gaya Pamal Tan
Aa Gai Un Ko Qaza Haye Alamdar E Man
Phool Hasan Ka Woh Tha Haye Alamdar E Man
Karta Aah O Buka Haye Alamdar E Man
Shah Nay Ro Kar Kaha Haye Alamdar E Man
Noha Zamana Yun Hi Aap Ka Parhta Rahay
Aur Naseem Ap Ka Gham Sada Likhta Rahay
Shayer E Aal E Abaa Haye Alamdar E Man
Mangta Hai Ab Dua Haye Alamdar E Man
Dijiye Is Ko Sila Haye Alamdar E Man
Shah Nay Ro Kar Kaha Haye Alamdar E Man