Reciter: Nadeem Sarwar
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Pehly To Chala Shah Ky Hulqoom Py Khanjar
Bad Us Ky Laeen Khaimon Mein Dar Aye Liya Zarr
Phir Cheen Li Sayedaniyon Ki Ahdaa Nay Chadar
Ab Aal E Nabi Ho Gai Balway Mein Khulay Sarr
Phirti Hai Sabaa Dasht Mein Karti Hui Noha
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Jaltay Huye Khaimon Mein Gai Aur Kabhi Aai
Is Hoslay Pay Aaj Bhi Giriya Hai Khudai
Ghash Mein Beemar Bhateejay Ko Bhi Lai
Jalnay Say Har Ek Fard Ki Jaan Tu Nay Bachai
Toofan E Masayeb Mein Tera Uff Yeh Kalaija
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Jab Kam Hui Toofan E Bala Khaiz Ki Raftar
Raandon Kay Qareen Aa Ky Yeh Karnay Lagiin Guftaar
Ay Bibiyon Bachon Say Zara Rehna Khabardar
Kulsoom Zara Daikh Lo Sab Bachon Ko Ek Bar
Gum Ho Na Gaya Ho Koi Es Dasht Mein Bacha
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Kulsoom Nay Yeh Suntay Hi Atfaal Ko Daikha
Kuch Sehmay Huye Baithay Thay Kuch Kartay Thay Nala
Lekin Nazar Aai Na Kahin Bali Sakina
Abbas Ka Farzand Muhammad Bhi Nahi Tha
Kulsoom Nay Manzar Jo Yeh Daikha To Pukara
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Yeh Suntay Hi Zainab Kay Kalaijay Pay Laga Teer
Kulsoom Say Ghabra Ky Kaha Ay Meri Hamsheer
Dhundo Unhen Kis Simt Gaye Haye Woh Dilgeer
Maqtal Mein Keh Dariya Py Gai Dukhtar E Shabbir
Yeh Keh Ky Liya Hath Mein Ek Toota Sa Naiza
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Tareeki Thi Aisi Keh Laraztay Thay Dil O Jaan
Ta Haq E Nazar Lashay Garan Hai Woh Bayaban
Jab Gird O Nawah Mein Na Raha Milnay Ka Imkaan
Kulsoom Ky Hamraah Chali Phir Sooye Maidan
Tha Wird E Zubaan Dono Ky Kis Jaa Py Ho Beta
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Rukh Kar Ky Sooye Nehr Sukhan Lab Py Yeh Lai
Abbas Sakina Ki Hui Hum Say Judai
Milti Nahi Na Jan E Kahan Chup Gai Bhai
Kya Aai Hai Pas Aap Ky Shabbir Ki Jaai
Hai Waqt E Madad Sakht Museebat Mein Hai Bhaiya
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Maqtal Mein Abhi Dhundtay Phirti Thi Woh Pur Gham
Keh Jharhi Mein Do Tifl Nazar Aa Gaye Ek Dam
Ghabra Ky Gaiin Un Ky Qareen Daikha Yeh Aalam
Ek Doosray Say Liptay Hain Par Torh Diya Dam
Is …. Nay Aur Kiya Gham Mein Izafa
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Auraq E Maqatil Mein Hain Tehreer Jo Manzar
Mushkil Hai Bayan Us Ka Kalaija Hua Muztar
Phat Jaye Ga Seena Woh Likha Hal Mukarrar
Kya Beet Gai Zainab O Kulsoom Ky Dill Par
Bas Rok Anees Apna Qalam Peet Ky Seena
Zainab Zainab Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab
Haye Rey Zainab