Khairilamal

Haye Sadaat Lyrics Ali Shanawar Noha 2012

Reciter: Ali Shanawar
Recitation Type: Noha
Year: 2012

Urdu Noha Haye Sadaat Lyrics in English and Urdu recited by Ali Shanawar in 2012. Find out more noha lyrics by Ali Shanawar similar to lyrics of Haye Sadaat on Khairilamal.

Haye Sadaat Lyrics in English

Haye Sadaat

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha
Apni Ankhon Ko Sada Khoon Hi Rota Dekha

Jis Gharany Ny Sada Logon Ko Khushiyan Bantiin
Un Ko Khushiyan Na Miliin, Gham Hi Zyada Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Woh Muhammad Keh Jo Rehmat Hain Zamaney K Liye
Un Ki Nalain Ko Bhi Khoon Mein Dooba Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Sabz Gunbad Ky Qareeb Marqad E Zehra Hai Magar
Baap Ny Beti Ki Turbat Py Na Saya Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Rotian Mang Ky Jis Dar Sy Farishty Jayen
Eid K Roz Bhi Un Bachon Ka Faqa Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Woh Taqi Ho Ky Naqi Moosi E Kazim Ya Raza
Sakhtian Qaid Ki Aur Zehr Ka Pyala Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Pusht Ky Jis Ko Bithaty Thy Rasool E Akram
Us Nawasey Hi Ka Sar Bar Sar E Naiza Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Jis Ky Bazoo Thy Rida Zainab E Kubra K Liye
Kaisy Bibi Ny Usy Bazoo Bureeda Dekha

Haye Saadat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Subh E Ashoor Dhali Sham E Ghareeba Aai
Char Pehron Mein Qayamat Ko Guzarta Dekha

Haye Saadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Gir Gai Khak Py Ghash Kha Ky Ali Ki Beti
Poocha Sughra Ny Ky Pardais Mein Kya Kya Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Ro Diye Sarwar O Rehan Jigar Tham Ky Ham
Jab Aza Khaney Mein Rakha Hua Jhoola Dekha

Haye Sadaat Ny Is Dehr Mein Kya Kya Dekha

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *