Reciter: Ali Hamza
Paida Huye Hum Matam E Shabbir K Liye
Fil Qurba Wali Ayat Ki Tafseer Ky Liye
Hussain Ya Hussain
Duniya Mein Dary Hai Na Hi Akhir Mein Daren Gy
Hussain Ya Hussain Hi Hum Kehty Maren Gy
Hum Matami Hain Matam E Shabbir Karen Gy
Mangi Jo Dua Zehra Ny Hum Us Ka Samar Hain
Seeny Py Hamary Yeh Nishan Rashk E Qamar Hain
Zinda Rahen Gy Jab Talak Dum Us Ka Bharen Gy
Hussain Ya Hussain Hi Hum Kehty Maren Gy
Hum Matami Hain Matam E Shabbir Karen Gy
Matam Hamary Pas Hai Zainab Ki Amanat
Na Ruk Saky Ga Yeh Kabhi Ta Roz E Qayamat
Nam E Hussain K Liye Hum Har Dukh Jhailen Gy
Hussain Ya Hussain Hi Hum Kehty Maren Gy
Hum Matami Hain Matam E Shabbir Karen Gy
Hussain Ya Hussain Hi Bas Apni Sada Hai
Matam Hi Ibadat Hai Matam Hi Mn Baqa Hai
Hum Chokhat E Hussain Py Is Sar Ko Dharen Gy
Hussain Ya Hussain Hi Hum Kehty Maren Gy
Hum Matami Hain Matam E Shabbir Karen Gy
Mehshar Mein Jab Banayen Gy Hum Halqa E Matam
Kull Anbiya Farishton Ki Bhi Ankhen Hon Gi Namm
Matam Mein La Shareek Ko Shareek Karen Gy
Hussain Ya Hussain Hi Hum Kehty Maren Gy
Hum Matami Hain Maatam E Shabbir Karen Gy
Hum Hurmat E Hussain Ky Duniya Mein Pasbaan
Hum Hain Hussaini Hum Ko Hai Yeh Janta Jahan
Jo Dushman E Hussain Hai Hum Us Sy Larhen Gy
Hussain Ya Hussain Hi Hum Kehty Maren Gy
Hum Matami Hain Matam E Shabbir Karen Gy
Khoon E Batool Jo Hai Muhammad Ka Nawasa
Ban Mein Raha Khursheed Jo Seh Roz Hai Pyasa
Har Koocha Har Nagar Mein Noha Us Ka Parhen Gy
Hussain Ya Hussain Hi Hum Kehty Maren Gy
Hum Matami Hain Matam E Shabbir Karen Gy
Duniya Mein Dary Hain Na Hi Akhir Mein Daren Gy
Hussain Ya Hussain Hi Hum Kehty Maren Gy