Reciter: Nadeem Sarwar
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Fikr E Inqelaab Hai Hussaini Fikr Chahiye
Karbala Say Jo Uthi Thi Aisi Fikr Chahiye
Boozari O Qambari Ky Jaisi Fikr Chahiye
Fikr E Hurr Thi Jis Tarah Ki Wesi Fikr Chahiye
….. Hasan Hussain Ki Ali Ki Fikr Chahiye
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Inqelaab Khoon Say Hai Taigh Katnay Ka Nam
Inqelaab Dill Py Barchiyon Ko Roknay Ka Nam
Inqelaab Ghar Luta Ky Shukr Bhaijnay Ka Nam
Inqelaab Muskura Kay Teer Khainchnay Ka Nam
Inqelaab Nojawan Ki Lash Daikhnay Ka Nam
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Inqelaab Hai Sada E Istighasa E Hussain
Inqelaab E Karbala Hai Kya Khulasa E Hussain
Inqelaab Sabr Dhoop Mein Hai Lasha E Hussain
Inqelaab Zabt Mein Chupa Dilasa E Hussain
Inqelaab Tashnagi Hai Halq Pyasa E Hussain
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Khoon E Inqelaab Hai To Khoon Phir Ali Ka Hai
Josh E Inqelaab Hai To Josh Phir Ali Ka Hai
Hosh E Inqelaab Hai To Hosh Phir Ali Ka Hai
Waqt E Inqelaab Hai To Waqt Phir Ali Ka Hai
Zabt E Inqelaab Hai To Zabt Phir Ali Ka Hai
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Jab Talak Jiyen Gay Ham Payam Yeh Sunayen Gay
Nakhwat O Gharoor Teray Naam Ko Mitayen Gay
Nara E Hussain Say Zamanay Ko Jagayen Gay
Sar Buland Deen Ka Alam Hai Hum Bachayen Gay
Hum Hussaini Fikr Say Woh Inqalaab Layen Gay
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Matam E Hussain Ki Dhamak Zameen Say Aasman
Manzil E Yaqeen Hai Nahi Hai Is Mein Koi Shak
Majlis E Aza Juloos O Taziyon Ki Yeh Dhanak
Hai Aza Ka Farsh Yeh Zameen Aur Yeh Falak
…… Seena Kobi Kar Rahay Hain Yeh Malak
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Yeh Jawan O Peer Sheer Khuar Aur Yeh Nonahal
Matam E Hussain Mein Badan Lahoo Say Jin Ky Lal
Pardadar Betiyan Hussaini Gham Mein Hain Nidhal
Paa Barehna Sar Khulay Galay Mein Hai Aza Ki Shawl
……. Fatima Hussaini Fikr Ka Kamal
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Matam E Hussain Teeragi Mein Aik Roshani
Aqal Bhi Shaoor Bhi Yeh Hum Sifaat E Bandagi
Nara E Aza Yehi Yehi Hamari Zindagi
Ramz Yeh Saken Gay Boozari O Qambari
Hai Hussainiat Jahan Jahan Wahan Qalandari
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Haq Parastion Ki Raah Ka Pata Hai Karbala
Zulm Ky Muqablay Pay Aa Gaya Hai Karbala
Kufr Ky Ghuroor Ko Mita Gaya Hai Karbala
Andhiyon Mein Bhi Diya Jala Gaya Hai Karbala
Matam E Hussain Ban Ky Chaa Gaya Hai Karbala
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Inqelaab Hai Yehi Keh Matami Libas Ho
Majlis E Aza Mein Koi Khaof Na Hiraas Ho
Kis Tarah Hussaini Gham Bataiye Qayaas Ho
Arzoo E Sayeda Py Gham Ki Jab Asaas Ho
Har Gharhi Aza E Shah E Karbala Ka Paas Ho
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Talib E Ali Jo Hai Woh Johari Janab Hai
Aqal Par Aqeel Ki Ata E Bu Turab Hai
Fikr E Irfa Abidi Mein Fikr E Haq Nisab Hai
Inqelaab E Karbala Say Zulm Bey Naqab Hai
Fikr Say Hussain Kay Zamana Faiz Yaab Hai
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
Bachay Sabhi Zia E Inqelaab Hai
Nazim O Ali Bhi To Nawaye Inqelaab Hain
Nasir O Asad Qamar Liwaye Inqelaab Hain
Jafar Akbar O Naqi Sadaye Inqelaab Hain
Sab Kay Sab Yeh Baraye Inqelaab Hain
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab
……. Sarwar O Rehan Azmi Kay Naam
Aik Nasir E Hussain Aik Shayer E Imam
Mil Gaya Dua E Sayeda Say In Ko Yeh Muqaam
Yeh Aza Ki Bazm Mein Hasan Hussain Kay Ghulam
In Kay Walidain Par Hussainiyon Kay Hain Salam
Inqelaab Inqelaab
Isi Matam E Shabbir Say Inqelaab