Reciter: Nadeem Sarwar

Jab Hussaina Ki Sada Kanon Say Takrati Hai
Kya Bataun Mera Dill Tukrhay Kiye Jati Hai

Jab Hui Sham Ky Zindaan Mein Qayamat Barpa
Bibiyan Seena O Sar Peet Ky Karti Thiin Buka
Aa Ky Kuch Logon Nay Darwazay Pay Abid Say Kaha
Kya Hui Taza Jafa Rotay Hain Jo Aal E Ebaa
Is Say Pehlay Na Suni Is Tarah Faryad O Fughan
Kya Kisi Fard Nay Is Qaid Mein Dam Torh Diya

Ro Ky Abid Nay Diya Sham Ky Logon Ko Jawab
Meri Masoom Behan Nay Abhi Daikha Hai Khuwab
Ho Ky Baidar Woh Baba Kay Liye Hai Bey Taab
Lakh Phailatay Hain Par Woh Nahi Pati Hai Taab
Woh Jo Roti Hai To Sab Ahl E Haram Rotay Hain
Apni Majboori O Mehsoori Py Jan Khotay Hain

Woh Yeh Kehti Hai Keh Baba Say Mila Do Mujh Ko
Marti Hun Sham Ky Zindaan Mein Jila Do Mujh Ko
Is Aseeri Ki Jafaon Say Churha Do Mujh Ko
Meray Bichray Huye Baba Ko Dikha Do Mujh Ko
Is Andhairay Mein Tasalli Woh Mujhay Daitay Thay
Aye Thay Baba Meray Pas Yahan Baithay Thay

Dar E Zindaan Py Yahan Kartay Thay Abid Yeh Buka
Hind Nay Poocha Kaneezon Say Mehal Mein Yeh Wahan
Ja Ky Daikho To Kahan Hota Hai Yeh Shor O Fughan
Sun Ky Yeh Aah O Fughan Tan Hai Hamara Larza
Jab Hussaina Ki Sada Kanon Say Takrati Hai
Kya Bataun Mera Dill Tukrhay Kiye Jati Hai

Al Gharaz Pahunchi Junhi Hind Dar E Zindaan Par
Qufl Zindaan Ka Darbanon Nay Khola Barh Kar
Qaid Khanay Mein Jo Dakhil Hui Woh Naik Seear
Jakrha Zanjeeron Nay Ek Qaidi Usay Aya Nazar
Rukh Pay Parhtay Hi Nazar Ho Gai Hairan Shashdar
Dill Mein Kehnay Lagi Ho Khair Ay Rabb E Akbar

Kis Qadar Noor Hai Is Qaidi Ky Rukh Par Wallah
Shakl O Soorat Say Yeh Lagta Hai Ali Ka Pota
Phir Kaha Dill Say Keh Tu Sochta Hai Kiun Aisa
Meri Ankhon Ki Yeh Beenai Ki Shayad Hai Khata
Ibne Shabbir Hai Sajjad Woh Shehzada Hai
Aisay Jakrhen Gay Musalman Woh Nabi Zada Hai

Londiyan Mashal Thamay Huye Kuch Aagay Barheen
Daikha Yeh Hind Nay Kuch Bibiyan Hain Khak Nasheen
Sar Pay Chadar Nahi Balon Say Chupaye Hain Jabeen
Noor Chehron Ka Batata Hai Keh Hain Arsh Makeen
Jis Taraf Hind Ki Zindaan Mein Nazar Jati Hai
Koi Zainab Koi Kulsoom Nazar Ati Hai

Boli Phir Tham Ky Dill Bibiyon Itna To Batao
Kiun Hai Yeh Aah O Buka Apna Kuch Ehwaal Sunao
Mujh Say Kya Parda Hai Chehron Say Zara Bal Hatao
Apnay In Ankhon Ko Roko Khudara Na Bahao
Aap Ko Daikha Hai Jab Say To Nahi Dill Ko Chain
Tukrhay Hota Hai Jigar Sunti Hun Jab Nam E Hussain

Mujh Ko Lagta Hai Koi Tum Mein Hai Koi Bano Farwa
Woh Jo Dill Pakrhay Hai Woh Lagti Hai Umme Laila
Mehndi Hathon Mein Hai Jis Ky Woh Hai Shakl E Kubra
Zaoj E Abbas Say Milti Hai Woh Bibi Wallah
Kis Zubaan Say Kahun Jo Daikhti Hun Main Manzar
Munh Ko Aa Jayen Gay Sadmay Say Meray Qalb O Jigar

Hind Karti Thi Yahan Bibiyon Say Yeh Guftaar
Mayel E Giriya Hui Bali Sakina Ek Baar
Dorh Kar Hind Gai Us Ky Qareen Halat E Zaar
Goud Mein Lay Ky Kiya Us Nay Sakina Ko Pyar
Boli Takleef Hai Kya Hal Meri Jaan Sunao
Roti Ho Kis Liye Kya Chahiye Kuch Hum Ko Batao

Dartay Dartay Yeh Bayan Bali Sakina Nay Kiya
Qaid Khanay Mein Abhi Aye Thay Meray Baba
Un Ky Hamraah Thay Bhaiya Ali Akbar O Chacha
Aye Thay Lainay Hamen Chorh Gaye Phir Tanha
Mujh Say Bichray Huye Baba Meray Mill Jayen Gay
Main Bhi So Jaun Gi Yeh Sab Bhi Sukoon Payen Gay

Zabt Zainab Say Nahi Ho Saka Boli Ro Kar
Hind Kya Poochti Hai Kya Nahi Kuch Tujh Ko Khabar
Qatil E Hazrat E Shabbir Hai Tera Shohar
Bethi Hai Goud Mein Teray Yeh Hai Sheh Ki Dukhtar
Hind Pehchan Lay Zehra Ki Yehi Poti Hai
Baap Ky Sar Ky Liye Roti Hai Jaan Khoti Hai

Ab Nahi Tab E Bayan Dill Mein Anees E Shabbir
Hai Jo Tareekh O Maqatil Ki Kutab Mein Tehreer
Hota Hai Tukrhay Jigar Parh Ky Buka E Hamsheer
Khoon Ugalta Hai Qalam Likhtay Huye Haal E Sagheer
Khatm Karta Hun Riwayat Ko Yeh Kar Ky Noha
Beti Ko Lenay Sar E Shah E Huda Aya Tha

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply