Khairilamal

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Lyrics Mola Abbas Manqabat Mir Hasan Mir 2012

Reciter: Mir Hasan Mir
Recitation Type: Manqabat
Year: 2012

Urdu Manqabat Jab Koi Dua Aur Na Dawa Lyrics in Urdu and English recited by Mir Hasan Mir in 2012. A Mola Abbas Manqabat.

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Lyrics in English

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi
Abbas Ke Parcham Ki Hawa Kam Kary Gi

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi

Aksar Yeh Ali Kehty Thy Ghazi Ko Utha Kar
Zahra Ki Dua Sab Sy Juda Kam Kary Gi

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi

Ab Chand Ka Kya Kam Raha Ghar Mein Ali Ke
Maah E Bani Hashim Ki Ziya Kam Kary Gi

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi

Khud Den Gy Shahenshah E Wafa Us Ko Salami
Kuch Is Tarah Fizza Ki Wafa Kam Kary Gi

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi

Shabbir Ke Rozey Sy Kafan Ley Ky Chala Hun
Ab Meri Hifazat Ka Qaza Kam Kary Gi

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi

Phir Bhi Nahi Utry Ga Khadeeja Tera Qarza
Din Rat Bhi Gar Khalq E Khuda Kam Kary Gi

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi

Shabbir Ka Sar Hai Yeh Kahin Jhuk Na Hi Sakta
Naizey Ki Ani Par Bhi Ana Kam Kary Gi

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi

Yeh Haazari E Hazrat Abbas Hai Sajjad
Qismat Se Zyada Yeh Ghiza Kam Kary Gi

Jab Koi Dua Aur Na Dawa Kam Kary Gi

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *