Reciter: Joan Rizvi

Abbas Abbas Abbas Abbas

Kaisa Pur Roag Woh Rajaat Ka Zamana Ho Ga
Sath Mahdi Ky Jab Abbas Ka Aan Aho Ga
Shair Ka Jis Gharhi Talwar Uthana Ho Ga
Pas Dushman Ky Na Koi Bhi Bahana Ho Ga
Phir Na Ghazi Ka Koi Kam Adhoora Ho Ga
Dill Mein Jo Jang Ka Armaan Hai Poora Ho Ga

Jang E Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai

Labb Py Abbas Ky Tatheer Ki Ayat Ho Gi
Ho Ga Salaar Yeh Mahdi Ki Qayadat Ho Gi
Zehn Mein Dushman E Shabbir Ki Soorat Ho Gi
Ab Na Roky Ga Koi Sab Ki Ijazat Ho Gi
Zinda Laoten Gy Nahi Samny Any Waly
Jang Abbas Ki Dekhen Gy Zamaney Waly

Jang E Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai

Hamza O Jaffar E Tayyar Sajayen Gy Isy
Fakhar Sy Pas Isy Ali Apny Bulayen Gy Isy
Yad Siffeen Ki Is Tarah Dilayen Gy Isy
Apny Hathon Sy Woh Talwar Thamayen Gy Isy
Sath Zainab Ki Duaon Ka Khazana Ho Ga
Chadar E Zahra Ky Saye Mein Rawana Ho Ga

Jang E Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai

Ghaiz Ankhon Mein Bhara Ho Ga Baraye Dushman
Us Ki Talwar Sy Nikly Gi Sada Chan Chan Chan
Gir Rahy Hon Gy Sar E Dushman E Deen Chorh Ky Tan
Rok Ky Rakh Dy Ga Abbas Dilon Ki Dharhkan
Badla Zahra O Sakina Ka Yun Ly Ga Ghazi
Kun Fuz O Shimr Ko Mary Ga Tamancha Ghazi

Jang E Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai

Roz E Ashoor Woh Sab Khoon Bahaney Waly
Samny Aayen Gy Jab Zulm Woh Dhaney Waly
Teer Khayen Gy Sabhi Teer Chalany Waly
Khak Ho Jayen Gy Khaimon Ko Jalany Waly
Cheeni Jis Jis Ny Rida Us Ko Nahi Chorhy Ga
Un Ky Hathon Ko Khud Abbas E Jari Torhy Ga

Jang E Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai

Jang Aisi To Kisi Ny Bhi Na Dekhi Ho Gi
Zindagi Maot Mein Dushman Ki Badalti Ho Gi
Jaisy Kartoot Thy Ab Maot Bhi Waisi Ho Gi
Chai Maidan Mein Bas Baiyat E Ghazi Ho Gi
Sary Ghar Walon Ki Goonjy Gi Sada Zindabad
Mahdi Khud Bolen Gy Ay Mere Chacha Zindabad

Jang E Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai

Chehra Har Dushman E Zahra Ka Isy Khatky Ga
Jis Ny Darwaza Giraya Tha Usy Pathky Ga
Koi Abbas Ky Nazdeek Nahi Bhatky Ga
Is Ky Hathon Mein Jo Aa Jaye Ga Woh Latky Ga
Jis Gharhi Phainky Ga Dushman Ko Masal Kar Ghazi
Paslian Torhy Ga Paon Sy Kuchal Kar Ghazi

Jang E Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai

Ki Mohammad Sy Amanat Mein Khayanat Jis Ny
Kheench Kar Pehni Thi Poshak E Hukoomat Jis Ny
Kar Diya Sun Ky Bhi Inkar E Wilayat Jis Ny
Aur Jhutlai Hai Sachon Ki Sadaqat Jis Ny
Woh Paharhon Py Charhen Ghaaron Mein Chup Jayen Kahin
Ja Ky Abbas E Dilawar Unhen Maren Gy Waheen

Jang E Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai

Joan Zeeshan Khuda Jany Ky Kya Kya Ho Ga
Kon Kis Jurm Mein Haqdaar Saza Ka Ho Ga
Jab Woh Aye Ga To Maloom Irada Ho Ga
Main To Bas Soch Mein Kehta Raha Aisa Ho Ga
Mujh Ko Maloom Nahi Kaisa Woh Manzar Ho Ga
Han Magar Hai Yeh Yaqeen Is Sy Bhi Barh Kar Ho Ga

Jang E Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply