Reciter: Farhan Ali Waris
Haye Haye
Sada Yeh Deta Hai Maqtal Mein Lasha E Shabbir
Hussain Ho Gaya Majboor Ay Meri Hamsheer
Kafan Jo Hota Muyassar Tumhen Rida Deta
Kahan Say Laye Baradar Rida Bahan K Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan K Liye
Kahan Say Laye Baradar Rida Bahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Kafan Nahi Hai Mayassar Yeh Khak Hairan Bahan
Tu Rann Ki Khak Say Balon Ko Dhanp Lena Bahan
Banay Gi Kahk Yeh Chadar Meray Badan K Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Kahan Say Laye Baradar Rida Bahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Aseer E Zulm O Jafa Ho Gaye Hain Hum Dono
Watan Say Aa Kay Juda Ho Gaye Hain Hum Dono
Tu Apnay Bhai Ko Tarsi Hai Main Bahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Kahan Say Laye Baradar Rida Bahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Aseer Ho Ky Yahan Say Tu Sham Jaye Gi
Hamari Lash To Ghorhon Say Rondi Jaye Gi
Saza Yeh Sochi Hai Ummat Nay Panjatan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Kahan Say Laye Baradar Rida Bahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Rida Bhi Sar Py Nahi Hai Jo Khud Bahan Day Day
Koi To Aa Kay Meray Bhai Ko Kafan Day Day
Yeh Bayn Qarz Thay Zainab Teray Dahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Kahan Say Laye Baradar Rida Bahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Ghareeb Tu Bhi Hai Zainab Tera Akhi Bhi Ghareeb
Hai Khak Mera Muqaddar Rasan Hai Tera Naseeb
Main Is Mahan Kay Liye Tha Tu Is Mahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Kahan Say Laye Baradar Rida Bahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Zamanay Bhar Say Jo Farhan Loag Jatay Hain
Woh Karbala Say Kafan Bhi Zaroor Latay Hain
Kalam Likha Hai Mazhar Nay Is Sukhan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Kahan Say Laye Baradar Rida Bahan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mohtaj Khud Kafan Kay Liye
Hussain Ho Gaya Mojtaj Khud Kafan Kay Liye