Reciter: Tejani Brothers
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Thokre kha kha ke uthta hun mujhe do sada
Kis jaga par ho mere beta mujhe ye bata
Dhundhta hun tujhko akbar ho kahaan
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Wada jo tumne kiya tha awaunga me eik din
Kistarha se jisakengi teri sughra tere bin
Dhundegi wo raah mei tera nishaa(n)
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Koi jaake fatema sughra ko paighaam do
Ab na laut ayenga akbar, apna dil thaam lo
Payegi wo behn ab tumko kahaan
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Tujhko paala tha mere akbar bare naaz se
Dil ko milta tha ujala teri awaaz se
Jab kabhi sunta tha mei teri azaan
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Ya ali awo najaf se aur karlo madad
Imtehano ka huwa hai haaye baba ye had
Mei nikalun kaise sine se sinaan
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Haaye majhburi ye meri dekhlo rab mere
Tord ta hai dam ali akbar mere samne
Khaak mei milta hai nana ka nishaan
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Aik baar apne gale se, mei lagalun aap ko
Jiteji na milsakega is gardi phir baap ko
Akhri hai baapo bête ka samaan
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Apne hatho(n) se jhulaya tha tujhe beta mere
Ab yahi hathon se kaise mei uthawunga tujhe
Sakht hai is baap par ye imtehaan
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Teri maa(n) aur teri behne hogi pabande rasan
Sar se chadar bhi chhinengi rasta hoga kathan
Aur uthenga saare khayme se dhhuwan
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan
Haye sarwar ki gharibi, Kaise hoga bayaan
Tha zaeef baap ke kaandho pe laash-e-jawaan
Rodiye likhke “Tejani” daastaan
Karbala, karbala karbala
Karbala Akbar mera hai nawjawaan